Cryptography mein, nonce aam tor par bay-tarteeb ya galat aur bay-tarteeb si aik value hoti hai jo encryption ya hashing se pehle data mein shamil ki jati hai taa keh yeh yakeeni banaya jaye keh aik jese inputs hone par bhi mukhtalif outputs hasil ho saktay hain.
Proof-of-work mining mein, miners nonce ko tabdeel kartay rehtay hain taa keh aik aesa valid block hash talash karein jo network ke difficulty target par pora utaray
Ethereum aur degar EVM-compatible chains mein, transaction nonce aik khas tarteeb wala number hota ha jo transactions ko tarteeb kay mutabiq arrange karnay aur repeat honay se rokta hai.
Nonce (yaani keh "aik bar istemal honay wala number") aik aesi value hai ko cryptographic processes mein istemal hoti hai taa keh yeh yakeeni banaya jaye keh data ya operations unique hain aur inhain dobara istemal nahi kiya ja sakta. Blockchain networks mein, nonces mining aur transaction management dono mein eham kardar ada kartay hain, lekin har context mein mukhtalif tareekay say kam aatay hain.
Is ka maqsad aik aesa hash output banana hai jo network ke mojooda difficulty target par pora utaray, aam tor par is ka matlab yeh hai keh isay lazmi khas taadad mein leading zeros se shuru hona chahiye (ya yun keh lein keh target value se kam hona chahiye). Hash functions unpredictable hotay hain is liye miners pehlay se hi is bat ka andaza nahi laga saktay keh kon sa nonce valid result de ga. Is liye, wo zero se shuru karty huye nonce ki mukhtalif values ko us waqt tak aazmatay rehtay hain, jab tak aik valid result na mil jaye.
Is valid nonce ko khabi khabar informally "golden nonce" bhi kaha jata hai. jab yeh mil jata hai, to block ko network par broadcast kar diya jata hai, nodes is ki tasdeeq kartay hain, aur phir isay blockchain mein shamil kar diya jata hai. Valid nonce talash karnay mein jo mushkil paish aati hai, wohi proof-of-work ko tampering kay khilaf mazboot banati hai: Agar kisi recorded block mein koi tabdili ki jaye to us block aur us kay bad aanay wala tamam blocks ki dobara calculations karni parti hain.
Yeh janna zrori hai keh Bitcoin block header mein nonce field sirf 32 bits ki hoti hai, jis ka matlab hai keh is ki taqreeban four billion possible values hoti hain. Jab miners is pori range ko istemal kar lein aur phir bhi koi valid hash value na milay, tou wo aam tor par degar variable ko adjust kartay hain, jesa keh timestamp ya extraNonce jesi koi izafi field, aur values ko dobara say aazmana shuru kar detay hain.
Nonces blockchain security ka aik bunyadi hissa hain. proof-of-work mining mein, yeh pehlay se mojood data ko tabdeel karna kafi had tak mushkil bana detay hain. Transaction management mein yeh is bat ko yaqeeni banatay hain keh har transaction unique ho aur usay sahih tareeqay se process kiya jaye.
Agar cheh dono soraton mein is ka istemal aik jaisa hi hai, lekin yeh blockchain aur context ke hisab say mukhtalif andaz mein kam kartay hain.
Transaction ID (TXID) characters ki ek munfarid string hoti hai jo blockchain par har transaction ko label ...