
AI Unlocked: Agents aur Skills mein khush aamdeed. Yeh course un naye users ke liye design kiya giya hai jo samajhna chahte hain keh AI agents kis tarah kaam karte hain, yeh crypto mein kis tarah apply hote hain, aur Binance ke AI tools ko mehfoz, munazzam tareeqe se kis tarah istemal kiya jata hai.
Aap kia seekhein ge
Is course ke khatam hone ke baad, ap darj zel ke qabil ho jain ge:
Bots, assistants, aur AI agents ke darmiyan farq karna.
Samajhna keh AI agents goals ko kis tarah process karte hain, tools ko kis tarah istemal karte hain, aur nataij kis tarah nikalte hain.
Binance Ai Pro set up karein aur apni pehli Skills install karein.
Market ki research, on-chain analysis, aur trading ke workflow ki planning ke liye Binance Skills istemal karein.
Apne AI workflow ke har marhale mein hifazati asool apply karein.
Bunyadi Zaruriyat: Aik tasdeeq shuda Binance account. Coding ya AI ka koi tajurba darkar nahi hai, lakin Module 2.4 mein aisi maqami scripts banane par ikhtiyari mashwara diya gaya hai jis mein command line ke bunyadi istemal ki zarurat shamil hai.
Course ka structure
Is course mein dou sections shamil hain jo qul 10 modules par mushtamil hain. Har module taqreeban teen se char minutes tak taweel hota hai.
Section 1 — AI ke Zariye Aaghaz Karna mein eham tareen concepts mutaarif karwaye jate hain: AI agents kiya hote hain, crypto mein in ki kiya ehmiyat hai, aur mehfoz kaisa raha jaye. Is mein yeh bhi bataya gaya hai keh AI agents asal mein kaise kaam karte hain aur aap ko apne Binance Ai Pro ko pehli dafa setup karne ka tareeqah bhi samjhaya gaya hai.
Section 2 — Aap ke Crypto Assistant ke tor pr Binance Ai Pro aap ko samjhata hai keh Binance Ai Pro ke andar mojood Skills ko kis tarah activate kiya jaye, market research aur on-chain analysis ke liye inhein kis tarah istemal kiya jaye, aik mukammal trading workflow kis tarah banaya jaye, platform se ziyada se ziyada munafa kaise hasil kiya jaye.

