
TradFi se Crypto tak mein khush aamdeed. Yeh course un tamam logon ke liye tayyar kiya gaya hai jo yeh samajhna chahte hain keh riwayati maali nizam kaise kaam karta hai aur crypto ki duniya se is ka kia taluq hai, chahe woh bilkul naye log hon ya tajurba kaar crypto users jo apni maloomat mein reh jane wali kammi ko pura karna chahte hon.
Yeh course seekhne walon ko shuruat se lekar amli istemal tak rehnumai faraham karta hai. Is ka aaghaz is baat se hota hai keh traditional finance (TradFi) kia hai aur is ki markets kaise kaam karti hain, phir un bunyadi instruments aur concepts par baat ki jati hai jo crypto mein bhi istemal hote hain, yeh batata hai keh dono duniyaein kahan ek dusre se milti hain, aur aakhir mein market signals ko samajhne ke liye ek amli framework faraham karta hai.
Chahe aap finance mein bilkul naye hon ya pehle se crypto mein fa'al hon, is course ke ideas aap ko yeh samajhne ke liye ziada wazeh mental model faraham karte hain keh yeh markets kis tarah badalti hain.
Course ke ikhtitam tak, aap ko darj zel kaam karne ke qabil hona chahie:
Samajhna: Yeh wazahat pesh karna keh traditional finance kia hai, bunyadi asset classes kon si hain, aur markets, institutions, aur settlement asal mein kaise kaam karte hain.
Connect karna: TradFi ke concepts (jaisa keh funding, bonds, yields, aur derivatives) ke baray mein seekhna aur yeh samajhna keh in ka crypto se kia taluq hai.
Tashreeh karna: Yeh samajhna keh interest rates, U.S. dollar, bond yields, aur central bank ke faisle crypto prices par kaise asar andaz hote hain.
Amal karna: Market se mutaliq khabron ko parhne aur riwayati aur crypto markets dono mein hone wali tabdeeliyon ko behtar tor par samajhne ke liye ek sada aur baar baar istemal kiye ja sakne wale framework ko istemal karna.
Finance ya trading ka koi tajarba zaruri nahi hai. Crypto ke hawale se bunyadi waqfiyat mufeed hai lekin lazmi nahi. Yeh course naye logon ke liye dastiyab hai, jab keh un logon ko bhi faidemand samjh boojh faraham karta hai jo pehle se trade ya sarmaya kaari karte hain.
Is course mein chaar sections aur kul chay modules shamil hain. Har module taqreeban chaar se chay minutes taweel hai.
Section 1, TradFi ki Bunyadi baatein, mein wazahat ki gayi hai keh traditional finance kia hai, bunyadi asset classes kon si hain, is ki markets kaise kaam karti hain, aur inhein chalane wale idaray kon se hain.
Section 2, Instruments aur Concepts, mein un khas TradFi ideas ka ihata kiya giya hai jo crypto mein bhi istemal hote hain, jin mein funding, bonds aur yields, aur derivatives shamil hain, sath hi yeh bhi bataya giya hai keh dono duniyaon mein trading day kis tarah mukhtalif hota hai.
Section 3, TradFi aur Crypto, mein yeh wazeh kiya giya hai keh dono duniyaein kahan ek doosre se jurti hain: traditional assets ke tokenized versions, aur rates, dollar, aur central banks crypto ki qeematon par kis tarah asar andaz hoti hain.
Section 4, TradFi ka Istemal, mein market mein tabdeeliyon ko samajhne ke liye concepts ko ek amli framework aur mental map mein tabdeel kar ke is safar ko mukammal kiya jata hai.

