Blockchain Consensus Algorithm kia hai?

Blockchain Consensus Algorithm kia hai?

Mubtadi
Update shuda Sep 21, 2026
6m

Eham Nukaat

  • Consensus Algorithm qawaid ka ek majmua hota hai jo Blockchain network ke tamam participants ko transaction history ke ek hi version par mutafiqq hone ke qabil banata hai.

  • Proof-of-Work (PoW) (jisse Bitcoin istemal karta hai) aur Proof of Stake (PoS) (jisse Ethereum istemal karta hai) aaj kal sab se ziada istemal hone wale do consensus algorithms hain.

  • Har mechanism bad-diyanati par mabni rawaiye ki hosla shikni ke liye Stake ki mukhtalif qisam istemal karta hai: Proof-of-Work (PoW) ke liye computing power aur bijli, jab keh Proof of Stake (PoS) ke liye lock ki gayi cryptocurrency.

  • Consensus Algorithm ka intikhab network ki security, energy ke istemal, decentralization aur scale karne ki salahiyat par asar andaz hota hai.

Binance Academy ke courses ka banner

Taaruf

Consensus Algorithm ek aisa mechanism hai jo users ya machines ko ek distributed setting mein coordinate karne ki sahulat faraham karta hai. Isse yaqeeni banana hota hai keh system ke tamam agents ek hi haqeeqi source par muttafiq ho sakein, chahe kuch agents nakaam ho jayein ya bad-diyanati se kaam karein. Is khasiyat ko kabhi kabhar Byzantine Fault Tolerance kaha jata hai.

Centralized setup mein, kisi ek he fareeq ko system par power hasil hoti hai aur woh zarurat ke mutabiq tabdeeliyan kar sakta hai. Lekin kisi decentralized setup mein, challenge mukhtalif hota hai. Jab bohat se khud mukhtar participants ek mushtarka database ko maintain karte hain, to unhein is bat par muttafiq hone ke liye ek tareeqay ki zaroorat hoti hai keh kon se fareeqain shamil kiye jayen.

Ajnabiyon ke ek doosre par bharosa na karne wale mahol mein is challenge par qaboo pana Blockchains ki takhleeq mein ek nihayat eham development thi. Ye article wazahat karta hai ke Consensus Algorithms kaise kaam karte hain aur Cryptocurrency networks ke kaam karne ke liye ye kiun zaroori hain.

Consensus Algorithms aur Cryptocurrency

Cryptocurrencies mein users ke balances ek mushtarka database mein record kiye jate hain jisay Blockchain kaha jata hai. Yeh zaroori hai keh Network ka har Node is database ki bilkul ek jaisi copy maintain kare. Agar copies mukhtalif hon, to maloomat mein tazad peda ho jata hai, jis se Network ke maqsad ko nuqsan pohanchta hai.

Public-key cryptography is baat ko yaqeeni banati hai keh users ek doosre ke funds kharch na kar sakein. Lekin phir bhi ek hi aise haqeeqi source ki zarurat hoti hai keh jis par Network ke participants yeh tasdeeq karne ke liye bharosa kar sakein ke aaya funds pehle hi kharch kiye ja chuke hain.

Bitcoin ke creator, Satoshi Nakamoto ne participants ke darmiyan coordination ke liye Proof-of-Work (PoW) ki tajveez pesh ki. Ye PoW system consensus algorithm ki ek qisam hai. Taahum, is ki tafseel mein jane se pehle, aayein ziada tar consensus algorithms mein mojood mushtarka khusoosiyaat ka jaiza lete hain.

Stake

Toseeq karaan ko lazmi tor pr ek Stake faraham karna hota hai: koi aisi qeemti cheez jo bad-diyanati ki hosla shikni kare. Agar woh dhoka dahi karein gay, to apne Stake se mehroom ho jayein gay. Stake ka matlab computing power, Cryptocurrency ya saakh ho sakta hai.

Inaam

Toseeq karaan ko diyanat darana participation ke badlay inaam bhi milta hai, jo aam tor par transaction fees ya naye takhleeq kiye gaye coins par mushtamil hota hai.

Shafafiyat

Aakhir mein, system ka shaffaf hona zaroori hai, taa keh koi bhi is baat ki toseeq kar sakke ke wo darust tarz-e-amal ikhtiyar kar raha hai.

Consensus Algorithms ki iqsam

Proof-of-Work (PoW)

Proof-of-Work (PoW) ko sab se pehle Bitcoin mein nafiz kiya gaya tha. PoW system mein, toseeq karaan, jinhein miners kaha jata hai, data ko us waqt tak baar baar hash karte hain keh jab tak unhein aisa nateeja na mil jaye jo Network ki sharaait par poora utarta ho. Hash function kisi bhi input ko ek muqarrara lambai par mabni output mein tabdeel karta hai. Ek hi input se hamesha ek hi output hasil hota hai, lekin ek bhi character badalne se nateeja mukammal tor par badal jata hai.

Network ek target muqarrar karta hai: misal ke tor par, block hash ka aaghaz lazmi tor par zeros ki ek khaas tadaad se hona chahiye. Miners ko aisa input talash karne ke liye kharbon mukhtalif inputs azmana parte hain jis se koi mozoon hash hasil ho. Is ke liye bohat barri miqdar mein hardware aur bijli darkar hoti hai.

PoW mein aap ka Stake us hardware aur bijli ki lagat hota hai. Mining ke liye design ki gayi ASIC machines Cryptocurrency networks ke ilawa kahin aur istemal nahi hotin, is liye miners qawaid ke mutabiq kaam karne par bohat ziada majboor hote hain. Kisi bhi doosre shakhs ke liye, ye toseeq karna ki gharz se keh miner ne ko moassar Block banaya hai, sirf ek hash calculation ki zarurat hoti hai.

Proof of Work Bitcoin ke liye consensus mechanism hai aur sirf computational cost ki wajah se bohat ziada security faraham karta hai.

Proof of Stake (PoS)

Proof-of-Stake ko Proof-of-Work ke mutabadil ke tor par pesh kiya gaya tha. Computing resources istemal karne ke bajaye, toseeq karaan cryptocurrency ko Zamanat ke tor par lock kar dete hain. Kisi makhsoos hardware ki zarurat nahi hoti; ek standard computer bhi is mein participate kar sakta hai.

Toseeq karaan agly Block ki tajweez pesh karte ya us par vote dete hain. Agar koi Block qabool kar liya jaye, to Toseeq kaar ko Transaction ki Fees mein se hissa milta hai. Agar koi Toseeq kaar gher moassar Transactions pesh kar ke dhoka dene ki koshish karta hai, to wo apne kuch ya tamam lock kiye gaye stake se mehroom ho jata hai. Is mechanism ko slashing kaha jata hai, jo Proof-of-Work ki energy cost ke bajaye barah-e-rast maali jurmana aaid karta hai.

Ethereum September 2022 mein Proof-of-Work se Proof-of-Stake par muntaqil hua, is event ko The Merge kaha jata hai. Is se Ethereum Proof-of-Stake par chalne wale sab se barre Networks mein se ek ban gaya, aur is ki energy consumption mein numaiyan kami aayi. Ab kai deegar barre blockchains bhi proof-of-stake ke mukhtalif versions ka istemal karte hain.

Proof-of-Stake ke zariye fa'al development mein se ek liquid staking hai, jo stakers ko apne lock kiye gaye funds ke badlay representative token hasil karne ki sahulat deta hai aur wo isse Decentralized Finance mein kisi aur jaga istemal kar sakte hain. Is ke nateejay mein staking mein participate karne ka daaira un logon tak bhi barh gaya hai jo mukammal toseeq kaar node run karne ke liye darkar kam az kam sharaait poori nahi kar sakte.

Delegated Proof of Stake (DPoS)

Delegated Proof of Stake mein token holders aise delegates ke group ke liye vote dete hain jo transactions ki toseeq ke zimmadar hote hain. Active delegates ki tadaad aam tor par kam hoti hai, jis ki wajah se standard Proof-of-Stake systems ke muqablay mein Blocks ki production ziada tez hoti hai.

Token holders Toseeq kaar Nodes ko khud run karne ke bajaye apni voting power tafweez kar dete hain. Bad-diyanati par mabni rawaiyya ikhtiyar karne waly delegates ko community vote ke zariye hata sakti hai, jis se maali stake ke saath saakh par mabni jawabdahi ka amal bhi takhleeq hota hai. DPoS kai Blockchain Networks mein istemal hota hai aur ziada se ziada decentralization ke muqablay mein throughput ko tarjeeh deta hai.

FAQ

Blockchain consensus algorithm kia hai?

Blockchain consensus algorithm qawaid ka ek aisa majmua hai jo kisi Distributed Network mein mojood tamam participants ko transaction history ke ek hi version par mutafiqq hone ke qabil banata hai. Yeh yaqeeni banata hai keh har node ek jaisi transaction history barqarar rakhe, aur unhein coordinate karne ke liye kisi central authority ki zarurat na ho۔

Proof-of-Work aur Proof-of-Stake mein kia farq hai?

Proof-of-Work mein Toseeq kaaran ko durust Blocks tayyar karne ke liye computing power aur bijli kharch karna hoti hai. Proof-of-Stake mein Toseeq kaaran ko cryptocurrency ko Zamanat ke tor par lock karne ki zarurat hoti hai. Dono approaches imandarana rawayye ke liye maashi targheebat takhleeq karti hain, lekin proof-of-stake kahin kam energy ka istemal karta hai.

Kia Ethereum ab bhi Proof-of-Work ka istemal karta hai?

Nahi. Ethereum September 2022 mein, The Merge naam ki upgrade ke zariye Proof-of-Stake par muntaqil hua. Bitcoin ab bhi Proof-of-Work ka istemal karta hai.

Kia Proof-of-Stake Network par hamla kiya ja sakta hai?

Proof-of-Stake Network par mumkina tor par koi aisa fareeq hamla kar sakta hai jo kul Stake ke ek barre hisse ko control karta ho. Slashing mechanisms aise hamlon ko bohat mehnga banane ke liye design kiye jate hain, kiun keh agar hamla aawar Ledger mein hera pheri ki koshish karte hue pakra jaye, to wo apne Stake kiye gaye funds ke ek barre hisse se mehroom ho jaye ga.

Mukhtalif Blockchains mukhtalif consensus algorithms kiun istemal karte hain?

Mukhtalif consensus mechanisms mein security, decentralization, energy ke istemal aur Transaction speed ke darmiyan tawazun shamil hota hai. Proof-of-work ko intehai mehfooz samjha jata hai, lekin is mein bohat ziada energy istemal hoti hai. Proof-of-stake energy ke lehaz se ziada moassar hai, lekin is mein toseeq karaan ke liye mukhtalif maashi awamil shamil hote hain. Projects in awamil ke hawale se apni tarjeehat ki bunyad par mechanisms ka intikhab karte hain۔

Ikhtitami Khayalat

Consensus algorithms woh bunyadi nizam hain jo distributed blockchains ko mumkin banate hain. Jo participants ek doosre ko nahi jante ya ek doosre par bharosa nahi karte, ye unhein kisi central authority ke baghair mushtarka transaction history par mutafiqq hone ke qabil banate hain. Consensus se mutalqa kaam karne ke tareeqay ko samajhna is baat ko samajhne ke liye ek bunyadi usool hai keh blockchains kis tarah kaam karte hain aur mehfooz rehte hain.

Mazeed Mutala