The Graph ek decentralized indexing protocol hai jo developers jo subgraphs naami open APIs ka istemal kar ke bunyaadi tor par GraphQL ke zariye blockchain data moassar tariqay se query karne ki sahulat deta hai. Iska native token GRT staking, delegation aur network mein curation ke liye isemal hota hai, aur query fees ka ek portion burn kiya jata hai taa keh token issuance ko offset kiya ja sakay.
Network chaar participant ke roles ke zariye sustain karta hai: Indexers, Curators aur Delegators ko GRT se incentives diye jate hain, jabke Consumers network tak rasai hasil karne ke liye GRT mein query fees ki adaaigi karte hain.
The Graph bohat si blockchains ki support karta hai, jin mein Ethereum, Arbitrum, Base, Polygon, Solana aur BNB Chain shamil hain.
Blockchain data ko barae raast query karna mushkil hai. Blockchains distributed aur sirf izafa shuda ledgers hote hain jo data ke tez retrieval ke liye design nahi kiye gaye. The Graph is maslay ko developers ko ye ijazat de kar hal karta hai ke karta hai ke wo wazahat karein ke makhsoos smart contracts aur events se data kis tarah index kaya jana chahiye, taa ke standardised APIs ke zariye isse qabile rasai banaya ja sakay.
The Graph participant ki chaar aqsaam ke decentralized network ke zariye operate karta hai:
Ye structure nakaami ke markazi nukaat ko khatam karta hai: koi bhi entity data ya query service ko control nahi karti. Staking, delegating, ya curating ke zariye har koi participate kar sakta hai.
Subgraphs bunyaadi indexing tool hote hain, jo ye wazahat karte hain ke kisi makhsoos chain par kon se contract events aur data fields ko track karna hai. Is ke ilawa, The Graph ne Substreams ko introduce karwaya: aala karkadagi ki hamil aisi data streaming layer jo jo real-time, zyada gunjaaish ki hamil indexing ko mumkin banati hai. Substreams khusoosi tor par aala sargarmi ki hamil aisi chains aur applications ke liye mozoon hoti hain ke jin ke liye kam takheer ka hamil data darkar hota hai, jaisa ke trading platforms aur on-chain analytics tools.
GRT The Graph ka native utility token hai, ye network ke incentive mechanisms ko coordinate karne ke liye istemal kiya jata hai:
Indexers Indexing mein participate karne ke liye GRT ko zamanat ke tor par stake karte hain. Slashing mechanisms ghalt ya mashkook rawaiyon ke liye jarmana karte hain.
Curators subgraphs ki value ko signal karne ke liye GRT deposit karte hain. Agar koi subgraph query ke volume ko attract karta hai, to curators fees ka share hasil karte hain.
Delegators Indexers ke liye GRT delegate karte hain aur infrastructure ko operate kiye bagher inamat ka share mosool karte hain.
GRT token network ke participants ko inaam dene ke liye ek wazeh issuance rate ka hamil hota hai. Query fees ka ek portion burn kiya jata hai, jo waqt guzarne ke sath sath naye issuance ko jizwi tor par offset karta hai. GRT holders The Graph Council ke zariye governance mein participate kar sakte hain, jo ek aisi delegated body hai jo protocol upgrades aur grant allocations ki nigrani karti hai.
The Graph bunyaadi tor par ek aisi centralised hosted service ke sath launch kiya giya jis ne developers ko muft mein subgraphs index karne ka moqa fraham kiya hai. 2024 mein, protocol ne Sunrise Upgrade mukammal ki, jis mein is hosted service ko khatam kar diya giya aur tamam subgraphs ke liye mukammal tor par decentralised network par migrate karna lazmi kar diya giya. Transition ko support karne ke liye is upgrade mein 4 million GRT tak in migration incentives shamil thay.
2025 mein, The Graph ne beta main Token API launch kiya jo developers ko ek single interface ke zariye supported chain par real-time token balances, transfer histories aur pricing data query karne ki sahulat deta hai. The Graph ne GRC-20 bhi introduce karwaya, jo structured knowledge ke graph data ke liye ek standard hai, ye protocol ke scope ko raw blockchain event indexing se aage le ja kar zyada interconnected aur semantic on-chain data tak wasee karta hai.
The Graph ka indexing infrastructure blockchain applications ki ek wasee range ko support karta hai:
Analytics dashboards aur block explorers subgraphs ka istemal, archive nodes ko barae rast query karne ke bagher aggregated on-chain statistics ko surface karne ke liye karte hain.
AI agents aur data tools tezi se ek structured data layer ke tor par The Graph ka istemal kar rahe hain taa keh on-chain activity ko barre pemanay par query kiya ja sakay.
Distributed content storage aur rasai ke liye protocol tayyar karne wala ek open-source project.
Binance Academy Editorial