SAFU fund aakhri saharay ke tor par hifazati jaal ka kirdar ada karta hai. Agar hifazat se wabasta kisi waqiye ki wajah se users ke funds ka nuqsan ho jaye, to Binance mutasira users ko muawza dene ke liye SAFU ke assets istemal kar sakta hai. Yeh fund operational accounts se alag rakha jata hai aur rozmarrah karobari ikharajaat ke liye istemal nahi kiya jata.
2026 tak, SAFU fund, Nest Clearing and Custody Limited ki janib se hold aur manage kiya jata hai, jo Abu Dhabi Global Market (ADGM) ki Financial Services Regulatory Authority ki janib se munazzam kiya jane wala ek tasleem shuda Clearing House hai. Funds ka ek hissa ADGM mein Binance ki zabta jati zimadarion ke hisse ke tor par sarmaye ke zakhair ke liye istemal hota hai.
Binance ne is baat ka azam kiya hai keh agar us ki Bitcoin holdings ki maliyat taqreeban US$800 million se kam ho jaye, to woh fund ko dubara bhar de ga, jis se fund ko ek aesi satah par barqarar rakhne mein madad milti hai jo mumkina intehai soorat-e-haal se nimatne ke liye munasib ho.
2019 ko Fund qayim hone ke baad, Binance ne users ke funds se mutaliq kisi barre hack ki report nahi ki. Agarcheh SAFU is baat ki zamanat nahi deta keh kabhi bhi koi nuqsanat nahi hon ge, lekin isay is tarah design kiya gaya hai keh agar koi intehai waqia pesh aaye to users par us ke mumkinah asar ko kam kiya ja sakay. Yeh fund ek wasee security framework ka ek hissa hai jis mein khatre ki management ke systems, baqaida security audits aur users ke liye hifazati khasoosiyat shamil hain.
SAFU ki istilah ka aaghaz ek viral meme se hua. 2018 mein, platform ki ghair tay shuda maintenance ke doran, Binance ke sabiq CEO, Changpeng Zhao (CZ) ne users ko tasalli dene ke liye “Funds are safe (Funds mehfooz hain)” ka tweet kiya. Baad mein Bizonacci naam ke ek content creator ne “Funds Are Safu (Funds Safu Hain)” ke title se YouTube video upload ki, jo crypto community mein tezi se phail gayi. Meme ki maqbooliyat ke baad, Binance ne yeh naam apnaya aur Secure Users ke liye Mehfooz Asset ka Fund ko baqaida tor par qaim kiya.
BNB Chain ka native token.
ASIC-resistant cryptocurrency ka protocol aur mining algorithm is tarah tashkeel diya gaya hai keh coin min...
Ek qisam ka malware jo aap ke computer ka control apne qabze mein le leta hai aur dhamki deta hai keh agar ...
Binance Academy Editorial