Proof of Stake (PoS)

Mubtadi
Update shuda Oct 10, 2026

Proof of Stake (PoS) Kia Hai?

Proof of Stake (PoS) ek consensus mechanism hai jis mein blockchain ke toseeq karaan naye blocks takhleeq karne ke liye is bunyaad par muntakhib kiye jate hain keh woh kitne crypto ko stake ke tor par lock karte hain.
Staking se muraad toseeq karaan ka Network ke liye funds mukhtas karna hai. Toseeq karaan naye Blocks sirf us waqt bana sakte hain jab woh pehle apne funds lock kar dein, jo keh zamanat ke tor par kaam karte hain. Badniyati par mabni rawaiya apnanay ki soorat mein toseeq karaan apne stake ke ek hisse se mehroom ho sakte hain aur unhein network se nikaal diya jata hai, jabkeh diyanatdar toseeq karaan ko naye Blocks ki tasdeeq karne aur tajweez pesh karne par inaam diya jata hai. Is tarah, PoS blockchain us maashi stake ki bunyad par distributed consensus hasil karta hai jo toseeq karaan mukhtas karte hain.

Proof of Stake Kaise Kaam Karta Hai?

Proof of Stake ko Proof-of-Work (PoW) ke mutabadil ke tor par design kiya gaya tha. Bitcoin jaisi POW blockchains par, toseeq karaan (Miners) ek cryptographic puzzle hal karne ke liye muqabla karte hain, aur jeetne wala agla block shamil karta hai. Yeh amal mehfooz hai, lekin is ke liye bohat ziada computing power aur energy darkar hoti hai.

Is ke baraks, PoS toseeq karaan ko stake ke size aur, kuch designs mein, coins ke stake kiye jane ki muddat jese awamil ki bunyad par muntakhib karta hai. Aksar implementations mein betarteebi ka ansar bhi shamil hota hai, taa keh toseeq karaan barre barre blocks bana sakein. Kiun keh PoS ke liye bohat kam computing power darkar hoti hai, is liye toseeq karaan makhsoos mining hardware ke bajaye mamooli machines ka istemal kar ke network ko mehfooz banane mein madad kar sakte hain. Yeh energy ke ziada moassar istemal aur ziada logon ki participation ko support kar sakta hai.

Is ki sab se mashhoor misal Ethereum hai, jo September 2022 mein The Merge naam ke ek event mein Proof of Work se Proof of Stake par muntaqil hua. Filhal, kul ETH ki supply ka taqreeban 35% Stake kiya gaya hai, aur network consensus hasil karne ke liye lakhon toseeq karaan par inhisar karta hai. Is tabdeeli ne Ethereum ke guzishta PoW design ke muqable mein energy ke istemal ko numayan tor par kam kar diya hai.

Proof of Stake Kiun Eham Hai

Proof of Stake is liye eham hai keh yeh blockchain ko mehfooz banane ke liye kam energy ke hamil tareeqay ki peshkash karta hai, aur isi doran slashing jaise maashi jurmanon ke zariye badniyati ki hosla shikni bhi karta hai. Rozmarrah ke users ke liye, staking, network mein participation ko ziada qabil e rasai bana sakti hai, kiun keh is ke liye mehanga mining equipment darkar nahi hota. Kai Networks chote holders ko staking pools mein shamil hone ki ijazat bhi dete hain, taa keh woh akelay hi mukammal toseeq kaar ko run karne ke bajaye stake ka ek hissa faraham kar sakein.
Standard model ke ilawa, is ki mukhtalif iqsaam bhi hain, jaisa keh leased proof of stake (LPoS) aur delegated proof of stake (DPoS). Kuch networks, jese Conflux, combined PoW aur PoS design ka istemal karte hain jo dono tareeqon ki khasoosiyaat ko yakja karta hai. Har qisam, decentralization, raftar aur security ke darmiyan mukhtalif tawazun qayim karti hai.
Posts share karein
Mutaliqa Glossaries

Binance Academy Editorial

Account register karein
Aaj hi Binance ka account khol kar apnay ilm ka amli tor par istemal karein