Liquidity
Update shuda Sep 18, 2026 Liquidity ka matlab wo aasani hai jis se kisi asset ko us ki qeemat par numayan asar dalay baghair market mein khareeda ya farokht kiya ja sakta hai.
Maliyati markets mein, liquidity yeh batati hai keh sarmaya kaar kitni jaldi kisi asset ko munasib qeemat par naqad raqam ya kisi aur asset mein tabdeel kar sakta hai. Jo assets foran exchange ho sakte hain, jaise barri currencies ya
large-cap stocks, un ko liquid samjha jata hai. Jin assets ko kam qeemat qabool kiye baghair fori tor par farokht karna mushkil ho, un ko illiquid kaha jata hai.
Cryptocurrency markets mein, liquidity se murad kisi diye gaye digital asset ke liye khareedaron aur farokhat kunandgan ki dastayabi hoti hai. Liquid market ka matlab yeh hai keh hamesha koi na koi counterparty trade karne ke liye tayar hoti hai, jis se participants taweel intezar ki muddat ya na-munasib qeematon ke baghair moassar tareeqay se khareed o farokhat kar sakte hain. Misal ke tor par,
Bitcoin ki market aam tor par bohat ziada liquid hoti hai kiun keh is mein musalsal bohat se traders BTC ko khareednay ya farokht karne ke liye tayar hote hain.
Liquidity is liye eham hai keh yeh trading ki lagat aur qeemat ke istehkam par barah e raast asar dalti hai. Liquid market mein, ek trader barre orders ko asset ki qeemat par mamooli asar ke sath pura kar sakta hai. Is ke baraks, illiquid market mein trader ko order mukammal hone ke liye ziada dair intezar karna par sakta hai ya phir aesi qeemat qabool karni parr sakti hai jo mutawaqah level se kaafi mukhtalif ho, aur is ko slippage kaha jata hai.
Liquid markets mein aam tor par trading ki sargarmi ziada hoti hai aur
lagai gayi aur maangi gayi qeemat ka farq kam hota hai, yani kahreedaar jo sab se ziada qeemat dene ko tayar hota hai aur farokhat karne wala jo sab se kam qeemat qabool karne ko tayar hota hai, un dono ke darmiyan farq nisbatan kam hota hai. Is se participants ke liye mutawaqah qeematon par positions mein dakhil hona aur nikalna aasan ho jata hai.
Illiquid markets mein, is ke baraks, aksar farq ziada wasee aur trading volumes kam hote hain. Hatta keh chote orders bhi qeemat mein numayan tabdeeliyon ka sabab ban sakte hain, jo un traders ke liye khatra barha sakta hai jin ko fori tor par khareedna ya farokht karna hota hai.
Liquidity ka andaza kai ihsaron ki madad se lagaya ja sakta hai, jin mein trading volume, order book ki depth, aur lagai gayi aur mangi gayi qeemat ka farq shamil hain.
Trading volume yeh dikhata hai keh kisi di gayi muddat mein asset ki kul raqam ka kitna hissa tarde kiya gaya, jo market ki sargarmi ka aam tasawur deta hai.
Order book depth yeh measure karti hai keh mukhtalif qeemat ke levels par kitne khareed o farokhat ke orders mojood hain, jo is baat ki nishan dahi karte hain keh qeemat ki barri tabdeeliyon ke baghair trades ko absorb karne ke liye kitna sarmaya dastayab hai.
Lagai gayi aur mangi gayi qeemat ka farq ek aur amli ishara hai. Kam farq aam tor par fa'al sharakatdaari ke sath liquid market ki nishandahi karta hai, jab keh ziada farq kam liquidity aur trading ke ziada ikhrajat ko zahir karta hai.
Accounting mein, accounting liquidity ki istilah ka matlab mukhtalif hai. Is se murad kisi fard ya company ki wo salahiyat jis se woh aese assets istemal kar keh mukhtasar muddat ki maliyati zimedariyan puri kar sakein jo fori cash mein tabdeel ho sakti hain. Yeh liquidity market se mukhtalif hai, jis mein maliyaati markets mein assets ki aasan khareed o farokhat par tawajjuh di jati hai.