InterPlanetary File System (IPFS)

Darmiyani
Update shuda Oct 14, 2026

Eham Nukaat

  • IPFS ek open-source, peer-to-peer network protocol hai jo central servers par inhisar kiye baghair files ko store aur share karne ke liye istemal hota hai.
  • Server address ki bunyad par files dhoondhne ke bajaye (HTTP ki tarah), IPFS files ko un ke content ki bunyad par dhoondta hai, aur is ke liye ek unique cryptographic fingerprint istemal hota hai jise Content Identifier (CID) kaha jata hai.

  • IPFS ko NFTs, decentralized applications, aur distributed archiving projects mein off-chain metadata storage ke liye wasee tor par istemal kiya jata hai.

  • Files us waqt tak dasteyab rehti hain jab tak kam az kam ek node inhein "pin" kiye rakhta hai; pinning services aur Filecoin jaise protocols taweel muddat tak dastayabi ko behtar banane mein madad dete hain.

IPFS (InterPlanetary File System) ek open-source protocol hai jo aesi distributed, aur mustaqil web tayyar karne ke liye design kiya gaya hai jahan files ko kisi ek server par inhisar kiye baghair store aur retrieve kiya ja sakay. Isay Protocol Labs ne tayyar kiya tha aur pehli martaba 2015 mein release kiya gaya. Aaj ke internet ki bunyad banne walay HTTP protocol ke muqable mein IPFS data distribute karne ke liye bunyadi tor par mukhtalif hikmat e amli ikhtiyar karta hai.

HTTP vs. IPFS: Location vs. Content

Riwayati web HTTP par chalti hai, ek aesa protocol jo content ko us jagah ki bunyad par retrieve karta hai jahan woh store hota hai. Jab aap kisi website par jate hain, to aap ka browser ek makhsoos address par mojood server, misal ke taur par kisi AWS data center, ko request bhejta hai aur woh server webpage wapas bhej deta hai. Agar server offline ho jaye, to content bhi dastayab nahi rehta.

IPFS is model ko ulat deta hai. Yeh "yeh file kahan mojood hai?" ka sawal karne ke bajaye, yeh poochta hai keh "yeh file kia hai?" IPFS mein har file ki Content Identifier (CID) ke zariye shanakht ki jati hai, jo keh ek munfarid string hoti hai jise file ke content ke cryptographic hash se tayyar kiya jata hai. Network ka koi bhi node jis ke paas wohi file mojood ho, us request ka jawab de sakta hai, chahe woh duniya ke kisi bhi hisse mein ho.

Is ka matlab yeh hai keh agar aap IPFS se koi document hasil karna chahte hain, to aap distributed network ko request broadcast karte hain, aur woh qareebi nodes jin ke paas matching CID mojood hota hai, woh jawab dete hain. Is amal ke liye kisi ek central server ki zarurat nahi parrti.

IPFS Kaise Kaam Karta Hai

Jab aap koi file IPFS mein shamil karte hain, to protocol usay chote chote chunks mein taqseem kar deta hai aur un chunks ka Merkle tree ki tarz ka directed acyclic graph (DAG) tayyar karta hai. Har chunk ko hash kiya jata hai aur in tamam hashes ko mila kar root CID tayyar ki jati hai, jo puri file ki munfarid pehchan hoti hai. Yeh structure IPFS ko nuqs se paak banata hai: agar file ka sirf ek byte bhi tabdeel kar diya jaye, to bilkul mukhtalif CID tayyar ho jati hai, aur file receive karne walay afraad foran data ki integrity ki tasdeeq kar sakte hain.

File discovery aur routing ko ek distributed hash table (DHT) ke zariye handle kiya jata hai, jo keh ek lookup system hai jo CIDs ko un peer addresses ke sath map karta hai jo us waqt unhein host kar rahe hote hain. Jab koi node kisi CID ki request karta hai, to DHT un peers ko talash karta hai jo us CID ko pin kiye huwe hote hain, aur file un ke darmiyan usi tarah barah e rast transfer ho jati hai, jaise BitTorrent kaam karta hai, lekin is mein kisi central tracker ki zarurat nahi hoti.

Yeh content-addressed approach blockchain systems ke sath fitri tor par fit bethati hai: ek smart contract ya on-chain record ek immutable CID store kar sakta hai jo off-chain data ki taraf point karta hai, jis se se blockchain ko ghair zaruri data se bhare baghair barri files ke liye qabil e toseeq links faraham kiye ja sakte hain.

IPFS aur NFTs

IPFS ka sab se numaya haqeeqi duniya ka istemal NFTs ke liye metadata aur media files ko store karna hai. Kiun keh Ethereum jaisi blockchains par NFT smart contracts token ki image aur attributes ke liye ek external URI ka reference rakhte hain, is liye agar yeh data kisi centralized server par store ho, to khatra paida ho jata hai: agar server offline ho jaye, to NFT ka metadata bhi dastayab nahi rehta. Is ke baraks, jab metadata ko IPFS CID ke zariye access kiya jata hai, to woh content-addressed aur qabil e toseeq ban jata hai, aur Is surat mein koi bhi node jo us CID ko pin kar raha ho, metadata serve kar sakta hai.

Yeh pattern ab aksar NFT platforms par standard ban chuka hai. On-chain contract CID ko store karta hai; Pinata ya Filebase jaisi services asal files ko pin karti hain taa keh woh dastayab rahein. Is ka natija token aur us se munsalik media ke darmiyan ek tamper-proof link ki surat mein nikalta hai.

Dastayabi aur Pinning

IPFS ki ek eham khasoosiat yeh hai keh files khud kar tor par hamesha ke liye store nahi rehtein. Koi file sirf us waqt tak qabil e rasai rehti hai jab tak kam az kam ek active node usay "pin" kiye rakhta hai. Agar woh tamam nodes jo us file ko hold kar rahe hon offline ho jayein, to file tak rasai mumkin nahi rehti, chahe us ka CID ab bhi valid hi kiun na ho.

Is masle ka hal nikalne ke liye, mukhtalif pinning services mojood hain jo users aur developers ko files ko musalsal host karwane ke liye payment karne ya incentives dene ki sahulat deti hain. Filecoin, jo IPFS banane wali isi team ka tayyar kardah blockchain par mabni storage network hai, is maqsad ke liye ek economic layer faraham karta hai: storage providers is baat ka saboot dene ke badle tokens kamate hain keh woh pinned data ko musalsal store kiye hue hain. IPFS (content addressing aur retrieval) aur Filecoin (storage incentives) ka yeh combination decentralized data persistence ko zyada bharose mand banane ke liye design kiya gaya hai.

Ab, Kubo aur browser-native Helia client jaise tools, aur sath hi sath woh service-worker gateways jo users ko bina koi software install kiye barah e rast standard browser se IPFS content tak rasai hasil karne dete hain, ne is protocol ko developers aur end users dono ke liye kaafi zyada qabil e rasai bana diya hai.

Fawaed aur Pabandiyan

Mumkinah Fawaed

  • Distributed Dastayabi: Content ko koi bhi aesa node serve kar sakta hai jo usay hold kar raha ho, jis se centralized hosting ke muqable mein single point of failure ka khatra kam ho jata hai.
  • Data integrity: CIDs ki wajah se yeh tasdeeq karna aasan ho jata hai keh kisi file mein koi tabdeeli nahi ki gayi.
  • Bandwidth efficiency: Jab ek hi file ko kai log request karte hain, to nodes usay kisi door ke server ki bajaye qareebi peer se hasil kar sakte hain, jis se load aur takher dono kam ho sakte hain.
  • Blockchain compatibility: CIDs barri off-chain files ke liye ek compact aur immutable reference faraham karte hain.

Pabandiyan

  • Dastayabi pinning par munhasir hoti hai: Agar koi bhi node kisi file ko active tor par store na kar raha ho, to woh file naqabil e rasai ho jati hai.
  • Adoption abhi bhi barh rahi hai: Peer network abhi centralized web ke muqable mein chota hai, jis ki wajah se kam request kiye janay walay content ki retrieval speed mutasir ho sakti hai.
  • Pecheedagi: HTTP ke muqable mein, IPFS un developers ke liye zyada pecheeda hai jo content addressing aur DHT routing se waqif nahi hain.

FAQ

IPFS Kia Hai?

IPFS (InterPlanetary File System) ek open-source, peer-to-peer protocol hai jo files ko distribute aur retrieve karne ke liye istemal hota hai. HTTP ke baraks, jo content ko kisi makhsoos server address se retrieve karta hai, IPFS content ko us ki pehchan ki bunyad par retrieve karta hai, aur is ke liye ek cryptographic fingerprint istemal hota hai jise Content Identifier (CID) kaha jata hai. Network par maujood aesa koi bhi node jis ke paas matching content ho, us content ko serve kar sakta hai.

IPFS Kaise Kaam Karta Hai?

Jab koi file IPFS mein shamil ki jati hai, to usay chote chunks mein taqseem kiya jata hai, phir un chunks ko hash kiya jata hai aur unhein mila kar ek Merkle DAG tayyar kiya jata hai. Is ka root hash us file ka CID ban jata hai, jo us file ki munfarid pehchan hota hai. Ek Distributed Hash Table (DHT) CIDs ko un peers ke addresses ke sath map karta hai jo is waqt unhein host kar rahe hote hain. Jab aap kisi CID ki darkhuwast karte hain, to DHT mutaliqa peers ko dhoond leta hai aur file kisi central server ke baghair barah e rast un peers ke darmiyan transfer ho jati hai.

IPFS mein content addressing kia hoti hai?

Content addressing ka matlab hai keh files ki shanakht un ke server ki location ki bajaye un ke content ke hash ki bunyad par ki jati hai. Is se jo identifier banta hai, usay CID kaha jata hai, aur woh usi file ke liye munfarid hota hai. Agar file mein zara si bhi tabdeeli ho jaye, to us ka CID bhi tabdeel ho jata hai. Is tarah data integrity ki tasdeeq karna aasan ho jata hai aur wohi content duniya ke kisi bhi hissay mein mojood us node se hasil kiya ja sakta hai jis ke paas woh file mojood ho.

IPFS aur HTTP mein kia farq hai?

HTTP ek location-addressed protocol hai: yeh content ko kisi makhsoos URL par mojood specific server se retrieve karta hai, lehaza agar woh server offline ho jaye, to content bhi dastayab nahi rehta. Is ke baraks, IPFS ek content-addressed protocol hai: yeh content ko us ke cryptographic fingerprint (CID) ki bunyad par retrieve karta hai, jise network ka koi bhi participating node serve kar sakta hai. Isi wajah se IPFS server failures ke muqable mein zyada resilient mana jata hai aur distributed ya taweel muddat ke liye data storage ke istemal ki sooraton ke liye zyada munasib hai.

Ikhtitami Khayalat

IPFS internet par files ko store aur retrieve karne ke tareeqe mein ek eham tabdeeli pesh karta hai, jis mein yeh location par mabni addressing ki jagah content par mabni addressing istemal karta hai. Blockchain systems ke sath is ki integration aur NFT metadata storage mein is ka istemal isay crypto ecosystem ke andar ek amli aur eham protocol banata hai.

Mazeed Mutala

Disclaimer: Ye content aap ke liye "jesa hai" ki bunyad par sirf amoomi maloomat aur taleemi maqaasid ki gharz se pesh kiya giya hai, aur is mein kisi qisam ki numaindagi ya zamanat shamil nahin. Isse mali, qanooni ya deegar qisam ki professional advice nahi samjha jana chahiye, na he is ka maqsad kisi makhsoos product ya service ki khareedari ki tajweez dena hai. Aap ko chahiye keh zati mashware ke liye muta'alqa professional advisors se mashwara lein. Jahan ye content kisi third party contributor ki janib se pesh kia jaye, barahe karam note karein wo khayalat us third party contributor ke hain, aur zaroori nahin ke wo Binance Academy ke mu'aqif ki akasi krte hon. Digital assets ki qeematein gher mustehkum ho sakti hain. Aap ki sarmayakari ki value kam ya ziada ho sakti hai aur ho sakta hai ke aap ko apni lagai gai raqam wapis na mile. Aap ke saramayakari ke faislon ki mukammal zamadari aap par hai aur Binance Academy aap ko hone wale kisi bhi qisam ke nuqsanat ke liye zimadar nahi hai. Mazeed maloomat ke liye, hamari Istemal ki Sharaait, Khatre ka Intibah aur Binance Academy ki Sharaait mulahiza karein.