Contango aur Backwardation

Darmiyani
Update shuda Oct 10, 2026

Contango aur Backwardation Kia Hain?

Contango ek futures market structure hai jis mein futures prices, spot price se ziada hoti hain, jab keh backwardation is ke baraks woh structure hai jis mein futures prices, spot price se kam hoti hain. Yeh dono terms aam tor par commodities markets ke tanazur mein istemal hoti hain, lekin in ko deeegar financial instruments par bhi apply kiya ja sakta hai.

Dono mein se koi bhi structure mustaqil nahi hai. Jese jese koi contract apni expiration date ke qareeb aata hai, us ki qeemat spot price ke barabar aa jati hai, kiun keh delivery ke waqt futures contract ko bunyadi asset ki value par settle karna hota hai. Contango aur backwardation kisi mustaqil farq ko nahi, balke is baat ko bayan karte hain keh curve kis position par hai.

Contango Kia Hai?

Contango us surat mein hota hai jab futures contract mojooda market price ke muqable mein premium price par trade karta hai.

Misal ke tor par Bitcoin ki mojooda qeemat $50,000 hai، aur teen maheene ke baad delivery ke liye Bitcoin futures contracts ki qeemat $55,000 ho. Is ka matlab yeh hai keh Bitcoin futures market contango mein hai. 

Is premium ki aksar wazahat cost of carry (qeemat ki barabri) se ki jati hai. Is mein delivery tak bunyadi asset ko store karne, financing, aur insurance ke tamam ikhrajaat shamil hain.

Contango mukhtalif awamil ki wajah se paida ho sakta hai, jaisa ke apne pas rakhne ki costs, storage ke ikharajaat aur interest rates. Yeh crude oil jesi commodities mein khaas tor par numayan hota hai, jahan asset ko apne pas rakhne aur store karne ke hawalay se ikharajaat kafi ziada ho sakte hain.
Bitcoin ke maamle mein, contango us surat mein ho sakta hai jab market mein bullish sentiment mazboot ho, jo aksar musbat khabron ya idaron ki barhti hoi dilchaspi ki wajah se hota hai.
Contango arbitrage ke liye mumkinah mawaqe faraham karta hai, jis mein traders physical commodity khareed aur futures contracts bech sakte hain aur qeematon ke farq se nafaa kama sakte hain. Taahum, spread us waqt hi nafaa deta hai jab woh asset ko delivery ki tareekh tak apne pas rakhne ki cost se tajawuz kar jaye.

Backwardation Kia Hai?

Backwardation contango ke baraks hai. Yeh us surat mein hota hai jab futures contract mojooda market ki qeemat ke muqable mein discount par trade karta hai.

Misal ke tor par Bitcoin ki mojooda qeemat $50,000 hai, aur teen maheene ke baad delivery ke liye Bitcoin futures contracts ki qeemat $45,000 ho. Yeh surat e haal Bitcoin futures market mein backwardation ko zahir karti hai.

Jab physical asset apne paas rakhne se Convenience Yield naam ka munafa ho, to future prices spot prices se kam ho sakti hain, yeh us commodity ke abhi dastiyab hone ki non-cash value hai. Jab inventories kam hon to yeh faida aam tor par barh jata hai, isi liye mojooda supply mein kami ki hamil markets mein Backwardation aam hoti hai.

Backwardation fori demand, supply ki kami ya qeematon mein kami ke hawalay se market ki tawaquat jaise awamil ki wajah se paida ho sakti hai. Bitcoin ki misal ko jari rakhte hoay, mustaqbil mein regulatory tabdeeliyon ke hawalay se aise khadshaat ho sakte hain jo is ki qeemat par asar andaz hote hain.

Qudarti aafat jese ghair mutawaqqe waqiat ki wajah se supply mein achanak kami spot price ko futures prices ke muqable mein barha sakti hai, kiun keh traders mahdood supply tak foran rasai ke liye premium ada karte hain. Backwardation in sooraton ko zahir karti hai lekin yeh is ki wajah nahi hoti.

Is ke ilawa, jab futures contracts apni expiration ki tareekhon ke qareeb ponchte hain, to jin traders ke pas contracts kam hon, unhein physical delivery se bachne ke liye contracts dobara khareedne par sakte hain. Khareedari ka ye pressure qaleel mudati ki qeematon ko spot ke qareeb le aata hai, jis ke nateejay mein miyad khatam hone ke qareeb discount kam hota jata hai.

Crypto Markets mein Contango aur Backwardation

Crypto mein, curve ka tasawwur daimi swaps tak bhi phailta hai, jo aesi contract ki qisam hai jis ki koi expiration date nahi hoti.

Daimi contracts kabhi expire nahi hote, is liye woh apni qeematon ko spot price ke sath jura rakhne ke liye funding rates istemal karte hain: jab koi daimi contract spot price se ziada par trade karta hai to funding aam tor par positive hoti hai aur long traders short traders ko adaigi karte hain; jab yeh spot price se kam par trade karta hai to funding negative ho sakti hai aur shorts longs ko adaigi karte hain. Is surat mein, funding us premium ya discount jesa kirdar ada karti hai jiss muqarrara miyad walay futures contango ya backwardation ke zariye zahir karte hain.