1980s mein financial analyst aur trader John Bollinger ne is indicator ko banaya, aur ye riwayati maliyati markets aur cryptocurrency trading mein kaafi ziada istemal hota hai. Yeh ek moving average ke gird bands ka set banata hai, taa keh traders dekh sakein keh qeemat apni haaliya aust value se kitna door ja rahi hai.
Kiun keh standard deviation is baat ki akasi karti hai keh qeematein kitni phaili hui hain, is liye bands market ke halaat ke mutabiq khud kaar tor par adjust ho jate hain. Jab volatility ziada ho, to bands phail jate hain aur darmiyani line se door chale jate hain. Jab volatility kam ho, to bands sukarh jate hain aur is ke qareeb aa jate hain. Mayaari settings ke sath, price action ka barra hissa dono bands ke andar hi rehta hai.
Bands ka phailna aur sukarhna bhi ek eham signal hai. Jab ek muddat ke liye bands bohat ziada tang ho jayein, jise Bollinger Squeeze kaha jata hai, to yeh kam volatility ki nishandahi karta hai aur is se baad ki qeemat mein ziada tezi se utaar charhao aa sakta hai. Yeh baat yaad rakhni chahiye keh ye squeeze volatility mein mumkinah izafe ka ishara deta hai, lekin yeh nahi batata keh qeemat kis simt mein harkat kare gi.
Ek aisa paimana jo sarmayakari ki karkardagi ka jaeza lene ke liye istemal hota hai. Yeh net munafe aur net...
Binance Academy Editorial