Velvet (VELVET) Se Kia Murad Hai?

Velvet (VELVET) Se Kia Murad Hai?

Darmiyani
Update shuda May 19, 2026
7m

Eham Nukaat

  • Velvet Capital aik aesa DeFAi platfrom hai jo AI trading terminal, on-chain portfolio vaults, aik Telegram par bana agentic interface, aur white-label decentralized finance (DeFi) ke bunyadi structure ko aik integrated system mein ikatha karta hai.

  • VELVET Velvet system ka aik bunyadi token hai. VELVET ko lock karnay se veVELVET banta hai, jo holders ko protocol ki aamadni mein hissa, fees discount, aur Velvet DAO ke andar governance ke haqooq de sakta hai.

  • VELVET ki total supply 1 billion tokens hai aur yeh 10 July, 2025 ko Binance Wallet IDO ke zariye launch kiya giya hai.

Binance Academy ke courses banner

Taaruf

Velvet Capital artificial intelligence aur on-chain trading ke darmiyan aik platform ke tor par pesh kiya jata hai, is ki product ko DeFAI (Decentralized Finance + AI) operating system kaha jata hai. Is article mein wazahat ki gai hai keh yeh platform kia karta hai, is ke mukhtalif hissay mil kar kaisay kaam kartay hain، aur VELVET token is ecosystem mein kia kirdar ada karta hai.

Velvet Capital Se Kia Murad Hai?

Velvet Capital aik AI se power shuda on-chain trading aur portfolio ke intizaam karnay ka platform hai. Yeh aesay traders, developers, aur institutional users ke liye design kiya gaya hai jo centralized intermediaries par inhisaar kiye bagair trading ke mawaqe dhondna, strategies ko naafiz karna, aur digital asset portfolios ko munazam karna chahtay hain.

Platform ko aik DeFAI stack ke tor par biyan kiya giya hai, jo decentralized finance aur AI automation ko ikatha karta hai. Velvet sirf aik hi tool faraham nahi karta balkeh yeh mukhtalif hisson ko aik system mein ikatha karta hai: aik trading terminal, Telegram ke zariye qabil-e-rasai AI agents, developers ke liye naafiz kiy janay walay APIs, aur smart contracts par mabni portfolio vault system.

Velvet Capital ko self-custody(az khud qabzay) ko mad-e-nazar rakhtay huye banaya gaya hai. Users platform ke sath apnay wallets ke zariye directly interact kartay hain, yani keh unhein centralized exchange (CEX) ya custodian ko funds deposit kiye begair khud apnay assets par har waqt control hasil hota hai.

Velvet Capital Kis Tarah Kam Karta Hai?

Velvet Capital char baray products areas ke zariye banaya giya hai, in mein har aik mukhtalif qisam ke user ya user ke istemal ke mutabiq design kiya giya hai.

AI Framework

Velvet mein DeFi workflows ke liye banaya gia aik multi-agent AI system shamil hota hai. Traders aam zaban ki commands istemal kar keh market ke hawalay se malomaat talash kar saktay hain, analysis run kar ke technical insights bana saktay hain, aur trades ya DeFi actions naafiz kar saktay hain. Yeh system ke makhsos agents waqt ke sath sath market ke data, user ke rawayon, aur nifaaz ke nataij se seekhtay rehtay hain taa keh dasti reconfiguration ki zarorat ko khatam kar keh analysis ka maiyaar behtar kiya jaye. Yeh hissa markazi dApp aur Telegram par banay interface dono ke zariye qabil-e-rasai hota hai.

Trading terminal

Velvet Trading Terminal aik on-chain interface hota hai jo supported chains par assets trade karnay ke liye istemal kiya jata hai. Users is par trend karnay walay tokens, naye launch honay walay token, ziyada volume wali markets aur piadawar walay mawaqe daryaft kar saktay hain.

Yeh terminal decentralized exchange (DEX) liquidity ke sath directly jura hota hai aur is aik mein embedded AI copilot mojood hota hai jo real-time insights ko live market data ke sath show karta hai. Filhal Velvet BNB Chain, Ethereum, Base, Solana, Sonic, Bitlayer, aur Arbitrum par trading ko support karta hai.

Portfolio vaults

Velvet traders ko aesay on-chain vaults bananay ki sahulat deta hai jin mein shared execution logic mojood hota hai. Vault managers rasai ke ikhtiyari controls ke zariye zaati ya awami vaults launch kar saktay hain. Kisi vault ko subscribe karnay walay followers ko manager ke barabar entry wali qeematein aur nifaaz ka miayaar hasil hota hai, aur manager ki trades ke muqablay mein slippage ka kam se kam nuqsan uthana parta hai. Yeh structure pori tarah on-chain munazzam ki janay wali transparent aur tasdeeq shuda performance records ko mumkin banata hai. Awami traders, sarmaya kai karnay walay groups aur DAOs in vaults ko portfolio ke intizaam ko transparent tareeqay se munazzam karnay ke liye istemal kar sakte hain.

White-label walay DeFi ka bunyadi structure

Velvet aik aesi white-label product ki pesh kash karta hai jo crypto projects, asset managers aur fintech platforms ko is bat ki ijazat deta hai ke woh Velvet ke bunyadi structure par apni branded DeFi trading ya portfolio applications launch kar sakein.Clients Velvet ke execution engine, AI system aur backend ka faida uthatay huye apni domain istemal kartay hain. Yeh is liy design kiya giya hai keh core DeFi ke bunyadi structure ko shuru se banay mein lagnay wala waqt aur bananay ka kharcha kam ho jaye.

VELVET Se Kia Murad Hai?

VELVET Velvet system ka aik bunyadi token hai jis ki total supply 1 billion tokens par muqarrar ki gai hai. Yeh token BNB Chain par BEP-20 asset ke tor par mojood hota hai aur dosray supported networks par bhi trade kiya ja sakta hai.

VELVET ki eham tareen utility staking hai. Jab users apnay VELVET tokens ko lock kartay hain, tu wo token ka aik vote-escrowed (lock kar ke voting ka haq hasil karna) version, veVELVET hasil kartay hain. Locking ki muddat jitni ziyada ho gi, user utnay hi ziyada veVELVET hasil karein gay, yeh muddat ziyada se ziyada 200 haftay tak ki hoti hai. The veVELVET ka balance waqt ke sath aik hi rate se kam hota rehta hai aur aakhir kar lock period ke aakhir mein zero ho jata hai, aur is point par users apna balance barqarar rakhnay ke liye lock arna dobara shuru kar saktay hain.

veVELVET ki utilities

veVELVET hold karnay se users ko Velvet ecosystem ke andar mukhtalif faiday hasil ho saktay hain, jo kisi bhi waqt darj zel mojood sharaait par munhasur hoti hain:

  • Protocol ki aamadni share karna: Trading, AI inference, vault ke intizaam, aur partner ki integrations se kamai janay wali protocol fees ka 50% VELVET mein exchange kiya ja sakta hai aur isay veVELVET holders ko asal munafay ke tor par taqseem kiya jata hai.

  • Emissions: veVELVET holders ko un ke Gems balance ke hisab se VELVET emissions mil sakti hain, jo staked amount aur Velvet platform par un ki sargarmi ki aakasai karta hai.

  • Fee discounts: Tiered trading fee reductions users ke kul veVELVET supply mein se un ke hissay ke mutabiq apply hoti hain.

  • Governance: veVELVET nayi integrations aur fee ki taqseem wali policies jaisay baray Velvet DAO faislay karnay ke liye aik governance token ke tor par kaam karta hai.

  • Referral boost: veVELVET holders ko apnay referrals ke zariye hasil honay wali fee ka aik kafi ziyada hissa hasil ho sakta hai.

Protocol ka yeh bhi plan hai ke vault emission voting mutaarif ki jaye, jahan veVELVET holders vote de kar is bat ka faisla karein ge keh VELVET emissions ko khas vaults ki taraf bhejein. Vault managers votes hasil karnay ke liye targheebi inamat rakh sakein ge, aur voters ko vault ki performance ki bunyaad par mazeed inamat mil saktay hain.

Velvet Unicorn Token (VU)

VU (Velvet Unicorn Token) aik alag payment token hota hai jo AI Co-Pilot aur agentic strategy ki khasusiyat ke liye fee ke amal ke tor par istemal hota hai. Jab koi user AI inference action call karta hai to VU istemal hota hai: is ka aik-tihai hissa jala diya jata hai, aik-tihai hissa Velvet treasury ko research aur development ke liye bhej diya jata hai, aur aik-tihai veVELVET holders ko VELVET inamat ke tor par taqseem kiya jata hai.

Binance Alpha par VELVET

PancakeSwap ke ishtiraak se, 10 July 2025 ko Binance Wallet par aik Initial DEX Offering (IDO) ke zariye VELVET launch kiya giya tha. IDO ke baad, VELVET Binance Wallet DEX, Binance Alpha, aur PancakeSwap par trading ke liye dastiyab ho gaya tha.

Aksar Pochay Janay Walay Sawalaat

DeFAI Se Kia Murad Hai?

DeFAI aik aisi term hai jo decentralized finance (DeFi) aur artificial intelligence (AI) ko aik jagah ikatha karti hai. Jo platforms apnay aap ko DeFAI kehtay hain, woh AI ko riwayati maaliyat ke upar aik alag step ke tor par istemal karnay ke bajaye, AI tools jaisa keh market analysis agents, aam zaban se trade naafiz karna, aur strategy ke khud kar intizaam ko seedha on-chain ke maaliyati bunyadi structure mein integrate kartay hain.

veVELVET Se Kia Murad Hai?

veVELVET VELVET token ka vote-escrowed version hota hai. Users apnay VELVET ko 1 haftay se le kar 200 hafton tak ki muddat ke liye lock kartay hain taa keh veVELVET hasil kar sakein. Jitnay lambay arsay tak lock rakha jaye ga, utna ziyada veVELVET milay ga, aur yeh 200 hafton bad 1:1 ratio tak pohanch sakta hai. veVELVET balance waqt ke sath ahista ahista kam ho kar lock period ke end par zero ho jata hai. veVELVET holders ko protocol ki amadni ki sharing, VELVET emissions, trading fee par discounts, aur Velvet DAO ke andar governance ke haqooq jaisay fawaid mil saktay hain.

Kia Velvet Capital self-custodial (az khud qabzay) wala platform hai?

Jee han, Velvet Capital apni design ke hisaab se non-custodial (kisi ke qabzay mein nahi) hai. Users apnay wallets connect kar ke platform ke sath interact kartay hain aur apni assets par hamesha control rakhtay hain. Platform users ke funds hold nahi karta; tamam trading aur vault operations smart contracts ke zariye naafiz kiye jatay hain jis ki users directly manzori detay hain.

Hatmi Khiyalaat

Velvet Capital AI automation aur on-chain finance ko ikatha karne ke aik tareeqay kar ki numaindagi karta hai, jahan trading, portfolio ke intizam, developer APIs aur Telegram ki bunyad agent interface ko aik hi platform mein ikatha kiya gaya hai.

Tamam crypto assets aur DeFi platforms ki tarah, is mein hissa lenay walon ko is mein shamil khatraat ko mad-e-nazar rakhna chahiye, jin mein smart contract ki kamzoriyan, token ki qeemat mein utaar charhao, aur platform ki khasusiyat ke mustaqbil mein tabdeeli ka imkaan shamil hai.

Parhnay Ke Liye Mazeed Content

Disclaimer: Ye content aap ke liye "jesa hai" ki bunyaad par sirf amoomi maloomat aur taleemi maqaasid ki gharz se pesh kiya gya hai, aur is mein kisi qisam ki numaindagi ya zamanat shamil nahin. Isse mali, qanooni ya deegar qisam ka peshawrana mashwara nahi samjha jana chahiye, na he is ka maqsad kisi makhsoos product ya service ki khareedari ki tajweez dena hai. Aap ko chahiye keh zati mashwaray ke liye muta'alqa professional advisors se mashwara lein. Jahan ye content kisi third party contributor ki janib se pesh kia jaye, barahe karam note karein keh wo khayalat us third party contributor ke hai, aur zaroori nahin ke wo Binance Academy ke mu'aqif ki akasi karte hon. Digital assets ki qeemtein gher mustahkum ho sakti hain. Aap ki sarmayakari ki value kam ya ziada ho sakti hai aur ho sakta hai keh aap ko apni lagai gai raqam wapis na milay. Aap ke saramayakari ke faislon ki mukammal zamadari aap par hai aur Binance Academy aap ko honay walay kisi bhi qisam ke nuqsanaat ke liye zimadar nahi hai. Mazeed maloomat ke liye, hamari Istemal ki Sharaait, Khatray ka Intibah aur Binance Academy ki Shraaitmulahiza karein.