Crypto Lending mein Rehypothecation ke Khatray se Kia Muraad Hai?

Crypto Lending mein Rehypothecation ke Khatray se Kia Muraad Hai?

Darmiyani
Update shuda Jul 21, 2026
8m

Eham Nukaat

  • Rehypothecation us waqt hoti hai jab crypto udhaar par dene wala koi platform aap ke naam par staking ya yield farming jaise amal ke zariye aap ke jama karwaye gaye assets ko munafa hasil karne ke liye aage udhaar par de deta hai, jis se third-party counterparty ka khatra paida hota hai.

  • Agar udhaar lene wala, paisay wapis adaa na kar sakay, to lending platform qarz daar ho sakta hai aur aap ke funds wapis karne se qasir reh sakta hai.

  • Decentralized Finance (DeFi) mein, rehypothecation aam tor par ziada shaffaf hoti hai, lekin smart contract ka khatra phir bhi mojood rehta hai.

  • Assets ko self-custody ke hamil wallet mein rakhna rehypothecation ke khatray se mukammal tor par bachne ka sab se moassar tareeqa hai.

Binance Academy ke courses ka banner

Taaruf

Crypto lending platforms ke zariye passive income kamana bohat mashhoor strategy ban chuki hai. Users apne digital assets jama karwate hain taa keh wo Salana Sharah Munafa (APY) hasil kar sakein, jo kisi had tak savings account se milta julta hota hai. Lekin, riwayati banking ke bar'aks, in munafa jaat ke peeche kaargar mechanisms aksar rehypothecation naam ke amal par mabni hote hain.

Agarcheh rehypothecation riwayati maali nizaam (TradFi) mein ek mamooli amal hai, lekin crypto sector mein is ka istemal kam hifazati intizamaat ke sath hota hai. Is liye jo log apne assets kisi centralized exchange ya lending platform ke hawale karte hain, un ke liye is concept ko samajhna bohat zaruri hai.

Hypothecation vs. Rehypothecation ko Samajhna

Hypothecation se muraad kisi asset ko qarz hasil karne ke liye zamanat ke tor par rakhna hai. Jab aap mortgage lete hain, to aap ka ghar bank ke paas zamant ke tor par hota hai. Ghar ki milkiyat aap ke paas rehti hai, lekin agar aap qarz adaa na kar sakein, to bank us par daawa kar sakta hai. Crypto mein, yeh us waqt hota hai jab aap bitcoin ko lock kar ke stablecoin mint karte hain ya naqad qarz hasil karte hain.

Rehypothecation us waqt hoti hai jab woh idara jo aap ki zamanat apne paas rakhta hai, un girwi rakhe gaye assets ko apne maqasid ke liye dubara istemal karta hai. Amli tor par, platform aap ke jama karwaye gaye assets ko kisi third party ko udhaar de deta hai. Yani aap apne crypto ko kisi platform ko udhaar dete hain, aur platform wohi crypto kisi aur ko udhaar de deta hai.

Crypto mein Rehypothecation Kis Tarah Kaam Karti Hai

Rehypothecation ziada munafay ke hamil bohat se crypto accounts ki bunyad hai. Neeche is amal ki ek saada misaal di gayi hai:

  1. Deposit karna: Aap 5% APY dene wale ek centralized lending platform mein 1 BTC jama karwate hain.

  2. Dobara udhaar dena: Platform aap ka 1 BTC kisi idara jati borrower, jaisa keh hedge fund ya market maker, ko 8% sood par udhaar de deta hai.

  3. Spread: Platform aap ko 5% adaa karta hai aur baqi 3% ka farq apne munafay ke tor par rakh leta hai.

Platform ke nazdeek, yeh tareeqa sarmaye ki efficiency ko behtar banata hai. Lekin is soorat mein aap ka bitcoin ab platform ki mehfuz storage mein nahi rehta. Woh kisi third party ke paas hota hai, aur aap ka apna BTC wapis nikalne ka imkaan us party ki maali soorat e haal par munhasir hota hai.

Rehypothecation ke Bunyadi Khatrat

Jab assets ki rehypothecation ki jati hai, to aap counterparty ka khatra apne sarr le lete hain. Is se inhisar ka ek silsila shuru ho jata hai jahan ek idare ki nakami doosre idaron ke khaatmay ka sabab ban jati hai.

Counterparty ka qarz daar hona

Agar udhar lene wala ghalat trades karay aur udhaar liya hua BTC zaya kar de, to woh platform ko qarz wapis adaa nahi kar sakay ga. Is soorat mein platform ke paas funds ki kami paida ho jaye gi aur woh aap ko bhi aap ke assets ki raqam wapis nahi kar sakay ga. Yani aap un idaron ki maali sehat par inhisar kar rahe hote hain jin ke baray mein na aap ko maloomat hoti hain aur na hi un par aap ki koi nazar hoti hai.

Bank run ka Khatra

Market mein bohat ziada volatility ke doran, users aksar ek hi waqt mein apne funds nikalwana shuru kar dete hain. Agar platform ne apne aksar deposits ko illiquid assets ya taweel muddat ke qarzon mein laga rakha ho, to us ke paas itne liquid funds nahi hote keh woh withdrawal ki tamam darkhwaston ko foran pura kar sakay. Is soorat e haal mein aksar withdrawals freeze kar diye jatay hain aur sangeen soorat mein ye bankruptcy ka shikar ho sakta hai.

Ghair mehfooz creditor status

Riwayati finance mein, rehypothecation par had bandi hoti hai aur is par insurance bhi mojood hoti hai. Crypto mein, qawaneen abhi tak zer e tashkeel hain. Bohat se lending platforms apni Service ki Sharaait mein wazeh karte hain keh assets jama karwane ke baad un ki milkiyat platform ko muntaqil ho jati hai. Agar platform bankrupt ho jaye, to depositors ko aksar ghair mehfooz creditors ke tor par shumar kiya jata hai, yani wapis hasil hone walay assets mein un ka number aakhir mein aata hai.

2022 ke Crypto Lending Crisis se Milne Walay Sabaq

Rehypothecation ke khatrat 2022 ke crypto market ke bohran ke doran wazeh tor par samnay aaye. Kai barre lending platforms jarhana rehypothecation strategies ki wajah se dhair ho gaye.

2022 ke pehle nisf mein:

Celsius Network ne users ke funds ko ziada khatray ke hamil DeFi protocols aur qarzon mein rehypothecate kiya. Jab market ne ulta rukh ikhtiyar kiya, to woh funds nikalwane ki darkhuwastein puri karne ke liye waqt par liquidity wapis hasil na kar sakay.

Voyager Digital ne users ke assets mein se sainkron million dollars ek hi hedge fund ko udhaar de diye. Jab trading ke nuqsanat ki wajah se us hedge fund ne qarz adaa na kiya, to Voyager qarz dar ho gaya.

2022 ke dusre nisf mein:

Ek barri centralized exchange, FTX ke collapse ne bhi customers ke funds ko commingling (yani ghair qanooni tor par funds ko jama karna ya mix karna) aur udhaar dene jaise milte julte rawaiye ko be-naqab kiya. In tamam nakaamiyon ke majmui asraat ke natije mein, users ko arbon dollars ka nuqsan uthana parra aur mukhtalif mumalik mein qanooni karrawayi ke mutalbaat zor pakarne lagay.

CeFi vs. DeFi mein Rehypothecation

Yeh samajhna zaruri hai keh Centralized Finance (CeFi) aur DeFi mein rehypothecation ka tareeqa mukhtalif hota hai. CeFi operations aam tor par ghair shafaf hote hain. Users aksar yeh janay baghair funds jama karwa dete hain keh counterparty kon hai ya kitni leverage istemal ki ja rahi hai.

DeFi mein bhi rehypothecation mojood hai, jo aksar liquid staking ya wrapped tokens ke zariye hoti hai, lekin yeh aam tor par ziada shafaf hoti hai. Users blockchain par khud is baat ki toseeq kar sakte hain keh un ke assets kahan istemal ho rahe hain. Taham, DeFi apna alag smart contract ka khatra samnay lati hai, jahan code ki kamzoriyan funds ke nuqsan ka sabab ban sakti hain.

Rehypothecation Ke Khatray se Khud ko Kaise Mehfooz Rakhein

Self-custody sab se moassar hifazati tareeqa hai. Jab aap apne assets ko non-custodial wallet mein hold karte hain, jahan private keys sirf aap ke control mein hoti hain, to koi platform aap ke assets ko aage udhaar nahi de sakta. Apni private keys par control ka matlab hai keh un funds se mutaliq transactions ki ijazat sirf aap hi de sakte hain.

Agar aap custodial platforms istemal karne ka irada rakhte hain, to hot wallet aur cold wallet storage ke ikhtiyarat ke darmiyan farq ko samajhna bhi mufeed hota hai, kiun keh cold storage aam tor par un assets ke liye ziada mazboot security faraham karti hai jin tak aap ko baar baar rasai ki zarurat nahi hoti.

Kisi bhi centralized lending platform ko istemal karne se pehle, us ki Service ki Sharaait ko zarur parhein. Khaas tor par un shiqon par tawajju dein jo platform ke aap ke assets ko pledge, re-pledge ya hypothecate karne ke haq se mutaliq hon. Agar sharaait mein likha ho keh deposit karne se assets ki milkiyat platform ko muntaqil ho jati hai, to samajh li jiye keh aap ke assets ko aage qarz ki soorat mein diya ja sakta hai.

Ghair mamooli tor par ziada munafay mosool hone ki soorat mein hamesha ehtiyat bartein. Agar koi platform market ki aam aust value se kaafi ziada munafay ki peshkash kar raha ho, to mumkin hai keh woh munafa hasil karne ke liye ziada pur khatar rehypothecation strategies istemal kar raha ho. Aam tor par ziada munafay ka matlab ziada khatra hota hai.

FAQ

Crypto mein rehypothecation ka kia matlab hai?

Crypto mein rehypothecation ka matlab hai keh koi udhaar dene wala platform aap ke jama karwaye gaye assets ko kisi third party, jaisa keh hedge fund ya idaara jaati maqrooz, ko udhaar de deta hai. Platform is qarz par suud leta hai aur us ka kuch hissa aap ko munafe ki soorat mein deta hai. Is soorat mein aap ke funds platform ke paas mehfuz nahi rehte, balkeh ek aese qarz lene walay ke paas hote hain jis ki qarz wapis karne ki salahiyat yaqeeni nahi hoti.

Kia rehypothecation ghair qanooni hai?

Rehypothecation apni zaat mein ghair qanooni nahi hai aur riwayati finance mein yeh ek aam amal hai. Crypto mein bhi, aksar daira e amal mein is par mukammal qawaneen mojood nahi hain, taham yeh soorat e haal aahista aahista tabdeel ho rahi hai. European Union ki Markets in Crypto-Assets (MiCA) ke qanoon jaise framework, custody aur asset segregation ke qawaed mutarif karwa rahe hain jo is baat par asar andaz hote hain keh platforms customers ke funds ko kis tarah handle kar sakte hain.

Celsius aur Voyager ke sath kia hua tha?

Celsius Network aur Voyager Digital dono 2022 ke crypto market ke bohran ke doran collapse ho gaye kiun keh woh users ki funds nikalwane ki darkhuwastein puri karne se qasir rahe. Celsius ne users ke funds ko ziada khatray ke hamil DeFi protocols mein rehypothecate kiya tha. Voyager ne users ke assets ka barra hissa ek hi idaara jaati maqrooz ko udhaar diya tha jis ne baad mein qarz adaa na kiya. Dono waqiyat ke natije mein bankruptcy ki kaarrawaiyan shuru huin aur depositors ko khatir khuwa nuqsan uthana parra.

Kia DeFi platforms aap ke assets ko rehypothecate kar sakte hain?

DeFi protocols mein bhi rehypothecation ki kuch sooratein mojood hoti hain, jaisa keh liquid staking derivatives aur wrapped tokens, taham, yeh amal aam tor par ziada shafaf hota hai aur blockchain par nazar aata hai. Aap aam tor par toseeq kar sakte hain keh aap ke assets kahan istemal ho rahay hain. DeFi mein ghair shaffaf third-party lending ke muqable mein smart contract ki kamzoriyan aam tor par ziada eham khatra hoti hain.

Main rehypothecation ke khatray se kaise bach sakta/sakti hoon?

Rehypothecation ke khatray se bachne ka sab se bharose mand tareeqa yeh hai keh aap apne assets ko aese wallet mein rakhein jahan private keys sirf aap ke control mein hon. Agar aap centralized platforms istemal karte hain, to un ki Service ki Sharaait ko ghaur se parhein, yeh samjhein keh platform munafa kis tarah generate karta hai, aur concentration ka khatra kam karne ke liye apne assets ko mukhtalif platforms mein taqseem karne par bhi ghor karein.

Ikhtitami Khayalat

Rehypothecation dar'asal munafay aur tahafuz ke darmiyan ek trade-off hai. Yeh platforms ko woh liquidity faraham karti hai jis ki badolat woh pur kashish interest rates offer kar sakte hain, lekin sath hi aese systemic khatrat bhi paida karti hai jo market mein bohran ke dauran bhaari nuqsanat ka sabab bhi ban sakte hain.

Infiradi sarmaya kaaron ke liye, asal faisla is baat par mabni hota hai keh woh kitna khatra bardasht karne ke liye tayar hain. Apne funds par barah e raast control rakhna rehypothecation ke khatray ke khilaf sab se mazboot hifazat faraham karta hai, agarcheh is ka matlab yeh bhi hai keh aap platform ki taraf se milne walay kisi bhi munafay se dastbardar ho jate hain.

Mazeed Mutalaa

Disclaimer: Yeh content aap ke liye "jesa hai" ki bunyaad par sirf amoomi maloomat aur taleemi maqaasid ki gharz se pesh kiya giya hai, aur is mein kisi qisam ki numaindagi ya zamanat shamil nahi. Isse mali, qanooni ya deegar qisam ki professional advice nahi samjha jana chahiye, na he is ka maqsad kisi makhsoos product ya service ki khareedari ki tajweez dena hai. Aap ko chahiye keh zati mashware ke liye muta'alqa professional advisors se mashwara lein. Jahan ye content kisi third party contributor ki janib se pesh kia jaye, barahe karam note karein keh wo khayalat us third party contributor ke hain, aur zaroori nahi ke wo Binance Academy ke mu'aqif ki akasi karte hon. Digital asset ki qeematein gher mustehkum ho sakti hain. Aap ki sarmayakari ki value kam ya ziada ho sakti hai aur ho sakta hai ke aap ko apni lagai gai raqam wapis na mile. Aap ke saramayakari ke faislon ki mukammal zamadari aap par hai aur Binance Academy aap ko hone wale kisi bhi qisam ke nuqsanat ke liye zimadar nahi hai. Mazeed maloomat ke liye, hamari Istemal ki Sharaait, Khatray ka Intibah aur Binance Academy ki Sharaait mulahiza karein.