Ethereum Name Service (ENS) kia hai?

Ethereum Name Service (ENS) kia hai?

Mubtadi
Update shuda Aug 7, 2026
8m

Eham Nukaat

  • Ethereum Name Service (ENS), Ethereum par decentralized naming ka ek aisa system hai jo taweel, pecheeda wallet addresses ko "alice.eth" jaise sada aur insani tor par parhne mein aasan naamon mein tabdeel karta hai.

  • ENS names default tor par non-fungible token (NFT) assets hote hain. ENS NameWrapper contract, naamon ko ERC-1155 tokens ke tor par bhi wrap kar sakta hai, jis se permissions par ziada bareeki se control aur subdomains ka behtar intizam mumkin hota hai.

  • $ENS token, holders ko ENS DAO mein structures aur upgrades jaise protocol ke faislon par voting ke huqooq faraham karta hai.

  • 2026 mein, ENS ne elaan kiya keh woh dedicated Layer 2 network launch karne ke apne asal plan ke bajaye Ethereum mainnet par ENSv2 deploy kare ga. ENS ne ohday par mabni ijaztein bhi pesh kin aur Security Council ko fa'al kiya, jo is baat ko zahir karta hai keh protocol ko manage karne ke tareeqay mein musalsal tabdeeliyan ho rahi hain.

Binance Academy ke courses ka banner

Taaruf

Blockchains ke liye ek musalsal challenge unhein istemal mein aasan banana hai. Ethereum par mojood wallet addresses characters ki wo lambi strings hoti hain jinhein mehfooz tareeqay se share karna ya yaad rakhna mushkil hota hai. ENS in addresses ko chote aur parhne mein aasan naamon mein tabdeel kar ke is masle ko hal karta hai, bilkul usi tarah jaise internet domain names, numerical IP addresses ko tabdeel karte hain.

Is se Ethereum par mabni wasayil ko bhejna, mosool karna aur un ke sath interact karna ziada aasan ho jata hai aur ghalti ke imkanaat kam ho jate hain. Is article mein wazahat ki gayi hai keh ENS kia hai, yeh kaise kaam karta hai, aur 2026 mein protocol ko nayee shakal dene wali numaiyan tabdeeliyan kia hain.

Ethereum Name Service kia hai?

ENS, Ethereum par banaya gaya ek decentralized naming protocol hai jo users ko ".eth" par khatam hone wale insani tor par parhne mein aasan naam register karne ki sahulat deta hai. Har ENS name default tor par ek non-fungible token (NFT) hota hai, jo maalik ko qabil e toseeq milkiyat faraham karta hai aur isay doosre digital assets ki tarah muntaqil ya farokht kiya ja sakta hai.

Wallet addresses ke ilawa, ENS naam dusri blockchains par cryptocurrency addresses, decentralized storage networks par mojood websites ya files ki taraf ishara karne wale content hashes, aur social media handles ya email addresses jaise zaati metadata ke sath link kiye ja sakte hain.

ENS riwayati Domain Name System (DNS) ke sath bhi kaam karta hai. DNS Security Extensions (DNSSEC) ka istemal karte hue, ".com" jaisi regular domains ke maalikan unhein blockchain par mabni istemal ke liye ENS mein import kar sakte hain.

2017 mein launch hone ke baad se, ENS ek community ke zariye chlaye jane walay protocol mein tabdeel ho gaya hai jisse ENS DAO manage karta hai, aur yeh ENS root ki nigrani karta hai aur protocol ke eham faisle karta hai.

NameWrapper aur ERC-1155 Names

2023 mein deploy kiya gaya ENS NameWrapper contract ENS naamon ko wrap karne aur unhein plain NFTs ke bajaye ERC-1155 tokens ke tor par pesh karne ki sahulat deta hai. Wrapped names "fuses" ko support karte hain: wo permission settings jo is baat ko control karti hain keh kisi naam par kon si karrawaiyan ki ja sakti hain, jaisa keh subdomain creation ko rokna ya naam ko unwrap hone se rokna.

Is se ziada jadeed istemal ki sooratein mumkin hoti hain, jin mein emancipated subdomains bhi shamil hain jinhein parent name owner mustarad nahi kar sakta.

ENS Kaise Kaam karta Hai?

Architecture

ENS, DNS ki tarah hierarchical structure istemal karta hai. Sab se oopar aala satah ki domains (TLDs) hoti hain, jaise ".eth", jin mein se har ek ko smart contracts ke zariye manage kiya jata hai jinhein registrars kaha jata hai aur jo registration ke usool muqarrar karte hain. ENS registry ek central contract hai jo domain ki milkiyat, resolver assignments, aur cache settings ka record rakhta hai. Resolvers woh contracts hote hain jo ENS names ko addresses ya dusre data mein tabdeel karne ke zimmedar hote hain.

Forward aur reverse resolution

Forward resolution ek ENS names (jaisa keh "alice.eth") ko ek ya ziada addresses ya linked data mein tabdeel karta hai. Reverse resolution is ke baraks kaam karti hai aur kisi address ko us ke primary ENS name ke sath link karti hai. Is se wallets aur applications mukammal hex addresses ke bajaye parhne mein aasan naam display kar sakti hain.

Domains aur subdomains

ENS domains ke maalikan moassar tor par la mehdood subdomains bana sakte hain jin par un ka mukammal control hota hai. Misal ke tor par, "alice.eth" ka maalik "mail.alice.eth" ya "shop.alice.eth" bana sakta hai, jin mein se har ek mukhtalif wasayil ki taraf ishara kar sakta hai ya inhein khud mukhtar tor par manage kiya ja sakta hai. NameWrapper ke sath, subdomains ko makhsoos permissions ke sath jaari kiya ja sakta hai.

ENS ke sath Aap Kia Kar sakte hain?

ENS pecheeda addresses ko parhne mein aasan naamon se tabdeel kar ke cryptocurrency bhejna aur mosool karna aasan banata hai, jis se transactions ke doran ghaltiyon ka khatra kam hota hai. Ek single ENS name ko mutadid blockchain addresses ke sath link kiya ja sakta hai, jis se cross-chain interactions ko manage karna aasan ho jata hai.

ENS names website links, email addresses, aur social media handles jaisi maloomat bhi store kar sakte hain, jis se yeh zaati ya organizational branding ke liye decentralized identifiers ke tor par mufeed hote hain. Subdomain ki takhleeq aur delegation ke zariye communities aur applications ko apne control mein mojood ENS domain par naming systems banane ki sahulat milti hai.

ENS Domains ko Register aur Manage Karna

Registration

ENS domain ko register karne ke liye ek compatible crypto wallet aur registration fee ada karne ki gharz se ETH darkar hota hai. Is amal mein ENS app par dastiyab naam ko talash karna aur usse barah e raast register karna shamil hai.

ENS app ka homepage

Aksar naam pehle aayein, pehle paayein ki bunyad par dastiyab hote hain aur in ke liye auctions nahi hotin.

Pricing aur renewal

Registration fees naam ki lambai ke hisab se mukhtalif hoti hai. Paanch ya ziada characters ke hamil naamon ki aam tor par qeemat taqreeban $5 fi saal hoti hai, jab keh chote naamon (teen se chaar characters) ki nayabi ki wajah se un ki fees ziada hoti hai. Fees ETH mein muqarrar ki jati hai lekin dollar ke sath taqreeban musawi qadar barqarar rakhne ke liye Chainlink price oracles istemal kiye jate hain. ENS domains ko baqaidgi se renew karna zaruri hota hai, aur expiration ke baad 90 din ki riaayati muddat maalikan ko yeh sahulat deti hai ke wo naam ke public pool mein dubara shamil hone se pehle usse renew kar lein.

Tareekhi note: auction ka amal

2017 mein ENS ke launch ke waqt, mashoor chote naam Vickrey-style sealed-bid auction ke zariye taqsem kiye gaye. Ibtidai marhale ke baad yeh tareeqa khatam kar diya gaya, aur naye naam ab auctions ke zariye taqseem nahi kiye jate.

ENS V2 aur Mainnet par muntaqili

ENSv2, protocol ka ek barra aur bunyadi tor par dobara design kiya gaya version hai. Is ka architecture hierarchical registries ke gird banaya gaya hai, jahan har naam apni registry ke zariye apne subnames ko manage karta hai, is liye naamon ko ab alag alag objects nahi samjha jata. Is ka maqsad developers aur users ke liye subname management aur cross-chain istemal ko ziada aasan banana hai.

Pehle ke plans mein ENSv2 ko Namechain naam ki ek makhsoos Layer 2 network par chalane ka irada tha. February 2026 mein, ENS ne is plan se peechay hatne ka faisla kiya aur ENSv2 ko barah e raast Ethereum mainnet par deploy karne ka intikhab kiya. Is ki bunyadi wajah yeh batai gayi keh Ethereum ki gas fees itni kam ho gayi thi keh alag Layer 2 ab is ke badle hasil hone wale fawaid ke muqable mein qabil-e-qadar nahin rahi thi.

ENSv2 ne ohday par mabni ijaztein bhi pesh kein, aesa feature jo 19 May 2026 ko live hua. Is se kisi naam ki milkiyat ko alag alag ohdon mein taqseem karna mumkin hua, jis se ziada aasan aur mehfooz management mumkin ho sakti hai. Mainnet par mojooda .eth naamon se tawaqqo ki jati hai keh yeh transition ke doran bhi fa'al rahein ge, jab keh is process ko ENS DAO manage kare ga.

ENS Governance aur Security

ENS root domain aur protocol parameters ko ENS decentralized autonomous organization (DAO) ke zariye chalaya jata hai, jo $ENS token holders par mushtamil ek community structure hai. DAO on-chain proposals ke zariye fee structures, protocol upgrades, aur deegar mamlaat par vote karta hai.

$ENS token November 2021 mein ibtidai adopters aur ENS name holders mein ek airdrop ke zariye taqseem kiya gaya tha, aur yeh holdings ke tanasub se voting ke huqooq deta hai. Yeh token bazat-e-khud ENS protocol ki milkiyat ki numaindagi nahi karta; is ka bunyadi kaam governance mein shirkat karna hai.

2026 mein governance mein mazeed peshraft hui. 20 July 2026 ko, ENS DAO ne do saal ki muddat ke liye aath members par mushtamil Security Council ko activate kiya, jise badniyati par mabni tajaweez ke khilaf veto power hasil hai, jab keh DAO ke funding aur delegation ko manage karne ke tareeqay mein bhi wasee paimane par restructuring ki gayi. Is tarah ki tabdeeliyan decentralization aur amli faisla sazi ke darmiyan tawazun barqarar rakhne ki jaari koshish ka hissa hain.

Ek baar milkiyat hasil kar lene ke baad, ENS names ko protocol ya DAO ki taraf se mustarad nahi kiya ja sakta, siwaye is ke keh unhein renew na kiya jaye. Agar maalik riaayati muddat khatam hone se pehle naam renew nahi karta, to naam ko wapis public pool mein shamil kar diya jata hai. Naam ki security aakhir kaar is baat par munhasir hoti hai keh maalik apni private keys par control barqarar rakhe.

FAQ

Main ENS name kaise register karun?

ENS app par jayein, koi compatible Ethereum wallet connect karein, aur dastiyab naam talash karein. Agar naam dastiyab ho, to aap ETH mein salana fees ada kar ke usse register kar sakte hain. Registration pehle aayein, pehle paayein ki bunyad par hoti hai, aur milkiyat barqarar rakhne ke liye aap ko naam baqaidagi se renew karna ho ga.

ENS token ($ENS) kis liye istemal hota hai?

$ENS token ENS DAO mein governance mein shirkat ke liye istemal hota hai. Token holders fee structures, protocol upgrades, aur protocol par asar andaz honay wale deegar faislon se mutaliq tajaweez par vote kar sakte hain. $ENS hold karne se aap ko kisi bhi qisam ke ENS domain names ki milkiyat ya protocol ki aamdani par koi haq hasil nahi hota.

Kia ENS names ko Ethereum ke ilawa dusri blockchains par istemal kiya ja sakta hai?

ENS ko bunyadi tor par Ethereum ke liye design kiya gaya tha, aur .eth naam Ethereum mainnet par rooted hain. Taa hum, ek he ENS naam mutaadad blockchains ke addresses store kar sakta hai, is liye context ke mutabiq yeh mukhtalif addresses par resolve ho sakta hai. ENSv2 ko bunyadi tor par chain se khud mukhtar banaya gaya hai, aur kuch wallets apne users ke ikhrajat kam karne ke liye dusre networks par ENS subdomains issue karte hain.

2026 mein ENS mein kia tabdeel hua?

Sab se numaiyan tabdeeli February 2026 ka yeh faisla tha keh on-chain ikhrajat kam hone ke baad ENSv2 ko makhsoos Layer 2 network ke bajaye Ethereum mainnet par deploy kiya jaye. ENS ne May 2026 mein ohday par mabni ijazatein bhi mutarif karwayein aur wasee tar governance ki tabdeeliyon ke hisse ke tor par July 2026 mein Security Council ko activate kiya.

Ikhtitami Khayalat

ENS blockchain addresses ke liye ek naming layer faraham karti hai jo riwayati internet par domain names ke kaam karne ke tareeqay ki naqal karti hai, aur mushkil istemal wali strings ko parhne mein aasan identifiers se tabdeel karti hai jo on-chain aur off-chain data ki wasee range ke sath link ho sakte hain. ENSv2 ki aayinda deployment aur kam on-chain ikhrajat ke sath, registration aur renewal users ki ziada wasee tadad ke liye ziada qabil-e-rasai ban sakta hai.

Mazeed Mutala