Eham Nukaat
Daimi futures ke contracts mein, funding rates long aur short positions rakhne walay traders ke darmiyan waqfay waqfay se ki janay wali payments hote hain.
Funding rates, daimi contract ki qeemat ko bunyadi asset ki spot price ke saath hum aahang rakhne mein madad karte hain.
Jab funding rate positive hota hai, to long positions walay traders, short positions walay traders ko adaigi karte hain. Jab yeh negative hota hai, to short positions wale long positions walon ki adaigi karte hain.
Funding rate do components ko istemal kar ke calculate kiya jata hai: interest rate aur premium index, jinhein ek clamp (had mein rakhna) mechanism ke saath milaya jata hai jo har interval ke liye rate ko mehdood rakhta hai.
Binance Futures par ziada tar contracts ke liye standard interest rate 0.03% fi din hai, tahum kuch contracts mukhtalif rates istemal karte hain. Funding intervals mukhtalif ho sakte hain: standard interval har aath ghantay baad hota hai, lekin Binance ne 2025 mein aesi mutaharrik adjustments mutaarif karwaye hain jo market ki surat-e-haal ki bunyad par contracts ke intervals ko chaar ghantay ya aik ghantay tak tabdeel kar sakti hain.
Crypto funding rates, riwayati finance futures mein cost of carry (barqarar rakhne ki cost) jaisa maqsad poora karte hain, lekin rates ka taayun kaise hota hai aur kon kis ko adaigi karta hai, is ke hawalay se eham farq mojood hain.
Taaruf
Agar aap crypto markets mein daimi futures trade karte hain, to aap funding rates se zarur waqif hon gay. Yeh un bunyadi mechanisms mein se ek hain jo daimi contracts ko kaam karne ke qabil banate hain, lekin naye traders aksar in se mutalliq ghalat fehmi ka shikar ho jatay hain.
Yeh article wazahat karta hai keh funding rates kia hote hain, inhein kaise calculate kiya jata hai, aur aap ki trading ke liye in ka kia matlab hai. Is mein crypto funding rates ka traditional finance mein mojood in ke qareebi mutabaadil concepts ke saath muwazna bhi kiya gaya hai, taa keh aap dekh sakein ke yeh concept mukhtalif markets mein kaise lagu hota hai. Is ko samajhna aap ko ziada ehtiyat se positions plan karne aur gher mutawaqqe costs se bachne mein madad de sakta hai.
Daimi Futures Contracts Kia Hote Hain?
Funding rates par baat karne se pehle, us product ko samajhna madadgar hai jis se yeh talluq rakhte hain. Daimi futures contracts ek qisam ke derivative hain jo traders ko expiry date ke baghair kisi cryptocurrency par long ya short position ikhtiyar karne ki sahulat dete hain. Standard futures ke baraks, aap daimi position ko jab tak chahein, hold kar sakte hain.
Kiun keh yeh contracts kabhi expire nahi hote, is liye inhein bunyadi asset ki spot market price ke saath jura rehne ke liye ek mechanism ki zarurat hoti hai. Funding rates yeh mechanism faraham karte hain.
Funding Rate Kia Hota Hai?
Funding rate, daimi futures market mein traders ke darmiyan waqfay waqfay se ki janay wali payment hoti hai. Yeh exchange ki taraf se aaid ki janay wali fee nahi hoti. Is ke bajaye, yeh buyers (long positions) aur sellers (short positions) ke darmiyan transfer hota hai.
Payment ki direction is baat par munhasir hoti hai keh daimi contract ki qeemat bunyadi asset ki spot price se ziada hai ya kam. Jab contract spot price ke muqablay mein premium par trade karta hai, to funding rate aam tor par positive hota hai aur long positions short positions ko adaigi karti hain. Jab contract discount par trade karta hai, to funding rate aam tor par negative hota hai aur short positions long positions ko adaigi karti hain.
Yeh payment mechanism traders ko aisi positions open karne ki targheeb deta hai jo futures ki qeemat ko spot price ki taraf wapas lati hain, jis se waqt ke saath dono qeematein hum aahang rehti hain.
Funding Rates Kaise Calculate Kiye Jatay Hain
Funding rate do bunyadi components par mushtamil hota hai: interest rate aur premium index.
Interest rate
Interest rate, bunyadi currency (misal ke tor par BTC) aur quote currency (misal ke tor par USD) ke darmiyan udhar lene ki costs ke farq ko zahir karta hai. Binance Futures par ziada tar USD-M contracts ke liye standard interest rate 0.03% fi din hai, jisse funding intervals mein taqseem kiya jata hai.
Kuch contracts, jaise ETH/BTC pairs, 0% interest rate component ka istemal karte hain. Interest rate exchange ki taraf se muqarrar kiya gaya ek mustaqil parameter hota hai, jis ka taayun market ki surat-e-haal ki bunyad par nahi kiya jata.
Premium index
Premium index, daimi contract ki mark price aur bunyadi asset ki index price ke darmiyan farq ko measure karta hai. Jab contract spot price se ziada par trade karta hai, to premium positive hota hai. Jab yeh is se kam par trade karta hai, to premium negative hota hai.
Yeh component market ki surat-e-haal ke saath utar charao ka shikar hota hai aur funding rate mein tabdeeliyon ka bunyadi sabab hai. September 2025 mein, Binance ne mark price ki bunyad ko 1-minute sampling se 30-second sampling mein update kiya, jis se premium index haqeeqi waqt par mabni qeemat ki tabdeeliyon ke liye ziada radd-e-amal zahir karne laga.
Majmui calculation
Majmui funding rate ko yeh formula istemal kar ke calculate kiya jata hai:
Funding Rate = Premium Index + clamp(Interest Rate - Premium Index, -0.05%, +0.05%)
Clamp function (jisse "damper" bhi kaha jata hai) interest rate component ke contribution ko har interval mein -0.05% se +0.05% ke darmiyan mehdood rakhta hai. Is se shadeed volatility ya market ki gher mamooli surat-e-haal ke doran funding rate ke intehai satah tak pohanchne ka imkaan kam hota hai. Final funding rate har trader ki position value par lagu kiya jata hai taa keh funding payment ka taayun ho sake.
Binance Futures par, har contract ke liye mojooda funding rate aur agli payment tak ka waqt trading interface ke baalai hisse mein display kiya jata hai.
Funding Intervals
Binance Futures par standard funding interval har aath ghantay hota hai, jis ke nateejay mein rozana teen funding payments hoti hain. Taahum, Binance ne September 2025 mein mutaharrik interval adjustments mutaarif karwayein. USD-M daimi contracts ke liye, agar funding rate ki absolute value 36 musalsal ghanta war cycles tak 0.002% par ya is se kam rahe, to settlement interval 37th cycle par dobara chaar ghantay ho jata hai.
Is ka matlab hai ke musalsal kam funding rates walay contracts ziada baqaidgi se settle ho sakte hain. Har contract ka exact interval Binance Futures trading interface par check kiya ja sakta hai, kiun keh yeh adjustment market ki surat-e-hal ke mutabiq khudkar tor par lagu hoti hai.
Funding Rates Kiun Eham Hain
Daimi futures markets mein funding rates teen bunyadi maqasid ke liye kaam karte hain. Pehla, yeh daimi contract aur bunyadi asset ki spot price ke darmiyan price parity (qeemat ki barabri) barqarar rakhne mein madad karte hain. Doosra, yeh traders ko aisi positions ikhtiyar karne ki targheeb dete hain jo qeemat ke farq ko kam karti hain. Teesra, yeh market sentiment ke indicator ke tor par kaam kar sakte hain.
Musalsal positive funding rate is baat ki nishan dahi karta hai ke ziada traders long position ikhtiyar kar rahe hain, jo bullish sentiment (Market mein tezi ka rujhan) ki alaamat ho sakta hai. Musalsal negative rate is ke baraks surat-e-haal ki nishan dahi karta hai. Traders kabhi kabhar funding rates ko price action, volume aur open interest jaise deegar indicators ke saath istemal kar ke market ki wasee tar surat-e-haal ka jaiza lete hain. Taahum, funding rates tanha ek wahid qabil-e-aitemad signal nahi hain, aur yeh tezi se tabdeel ho sakte hain.
Riwayati Finance mein Funding Rates
Funding rate ka concept sirf crypto ke saath munfarid nahi hai. Riwayati finance kaafi arsay se leveraged position ko waqt ke saath hold karne ki cost ka taayun karne ke liye issi qisam ke mechanisms ka istemal karta aa raha hai. TradFi ke is mutaabadil ko samajhna traders ko yeh dekhne mein madad de sakta hai ke crypto funding rates kiun mojood hain aur yeh kis tarah mukhtalif hain.
Riwayati finance mein, futures ya leveraged position ko hold karne ki cost ko alag peer-to-peer payment ke tor par aaid karne ke bajaye product structure mein shamil kiya jata hai. Bunyadi concept cost of carry hai.
Cost of carry
Riwayati futures contracts, mein se murad woh tamam ikhrajaat hain jo contract ki muddat khatam hone tak bunyadi asset rakhne ke liye bardasht karne parte hain. Is mein financing costs (udhar liye gaye funds par interest), oil ya gold jaisi physical commodities ki storage costs, insurance aur dividends jaisi koi bhi aamdani shamil hoti hai jo net cost ko kam karti hai.
Futures ki qeemat usooli tor par spot price aur cost of carry ke barabar hoti hai. Jab futures, spot se ziada qeemat par trade karte hain to market contango (Futures ki qeemat ka spot price se ziada hona) mein hoti hai. Jab in ki qeemat kam ho to market backwardation (Futures ki qeemat ka spot price se kam hona) mein hoti hai.
Crypto daimi futures mein funding rate ka maqsad bhi kuch isi tarah hota hai: yeh leveraged position ko hold karne ki lagat ko qeemat mein shamil karta hai aur contract ki qeemat ko spot ke sath munsalik rakhta hai. Lekin expiry par contract ki qeemat mein shamil hone ke bajaye, yeh longs aur shorts ke darmiyan musalsal ada kiya jata hai.
CFDs mein overnight financing
Contracts for Difference (Qeemat ke Farq par mabni Contracts) (CFDs), jo US ke bahar kai jurisdictions mein mashhoor leveraged product hain, overnight financing fee aaid karte hain. Aam tor par yeh ek benchmark rate (jaise SOFR ya EURIBOR) aur broker spread par mushtamil hoti hai aur rozana total position value par lagu hoti hai.
Trader long positions ke liye broker ko adaigi karta hai aur short positions ke liye payment mosool bhi kar sakta hai. Crypto funding rates ke baraks, CFD overnight charges traders ke darmiyan exchange hone ke bajaye broker ko ada kiye jate hain. Yeh rate aam tor par qabil-e-peshgoi hota hai aur market mein longs aur shorts ke tawazun ki bunyad par utaar charao ka shikar nahi hota.
Roll yield
Traditional Futures mein, contracts ek muqarrara schedule ke mutabiq expire hote hain. Exposure barqarar rakhne ke liye, traders ko expire hone wale contract ko close kar ke agla contract open karna hota hai, jisse rolling kehte hain. Dono qeematon ka farq roll yield produce karta hai.
Contango mein, rolling aam tor par nuqsan ka sabab banti hai kiun keh agla contract ziada mehnga hota hai. Backwardation mein, rolling munafa produce kar sakti hai. Crypto ke daimi futures mein rolling ki zarurat nahi hoti kiun keh yeh kabhi expire nahi hote, lekin funding rate leveraged position ko barqarar rakhne ki jari cost ke tor par roll yield ki jagah le leta hai.
Crypto aur TradFi: Bunyadi Farq
Agarcheh bunyadi tasawwur milta julta hai, lekin mechanics mein eham farq mojood hain:
Payment ki simt: Crypto mein, funding longs aur shorts ke darmiyan peer-to-peer ada ki jati hai. TradFi CFDs mein trader broker ko payment karta hai.
Rate ka tayyun: Crypto funding rates mutaharrik hote hain aur contract aur spot prices ke darmiyan premium ki bunyad par in ka taayun hota hai. TradFi rates aam tor par ek muqarrara benchmark aur spread par mushtamil hote hain.
Frequency: Crypto funding rozana kai martaba settle hoti hai (Binance par har 4 se 8 ghante baad). TradFi overnight financing aam tor par rozana ek martaba aaid hoti hai.
Cost mein tabdeeli: Crypto funding market sentiment ki bunyad par tezi se positive se negative mein tabdeel ho sakti hai. TradFi financing aam tor par mustahkam aur qabil-e-peshgoi hoti hai.
Market ki asar pazeeri: Crypto funding rates haqeeqi waqt par mabni supply aur demand ke adam tawazun se bohat ziada mutaasir hote hain. TradFi rates din ke doran market ki tabdeeliyon par nisbatan takheer se rad-e-amal zahir karte hain.
Traders ke liye Amli Asraat
Positions hold karne ki lagat
Agar aap funding interval ke doran daimi futures position hold karte hain to aap rate aur apni position ki direction ke mutabiq funding fee adaa ya mosool karte hain. Short-term trades ke liye, yeh lagat aam tor par kam hoti hai. Long-term positions ke liye yeh jama ho kar aap ke majmui nateejay par asar andaz ho sakti hai, khas tor par agar Leverage shamil ho.
Jo traders kai din ya hafton tak positions hold karna chahte hain, unhein apni planning mein mutawaqqe funding ke lagaton ko shamil karna chahiye. Ziada positive funding rate waqt ke sath long positions ke returns ko kam kar sakta hai, jab ke ziada negative rate short positions ki lagat mein izafa kar sakta hai.
Trading ki strategies
Kuch traders funding rates ke mutabiq strategies build karte hain. Is ki ek misaal funding rate arbitrage hai, jis mein trader futures exposure ko hedge karne ke liye mukhalif spot position hold karta hai aur funding payment hasil karta hai. Kuch deegar traders open interest aur qeemat ke data ke sath funding rates ko secondary signal ke tor par istemal karte hain taa keh wo apne dakhle aur ikhraj se mutalliq bakhabar faisle le sakein.
In approaches ke liye tajurbe aur mohtat position sizing ki zarurat hoti hai. Wo khatray ke bagher nahi hotein, aur funding rate ke guzashta patterns mustaqbil ke rawaiye ki zamanat nahi dete.
Funding rate ke khatray ko manage karna
Achi risk management mein funding rates ki baqaidgi se monitoring shamil hai, khas tor par market volatility ke doran jab rates tezi se tabdeel ho sakte hain. Traders ko position enter karne se pehle funding rate aur agli payment tak ka waqt check karna chahiye. Position size ko adjust karna ya funding interval se pehle position close karna gher mutawaqqe costs ko kam kar sakta hai.
Binance Futures trading interface ke balaai hisse mein mojood funding rate aur countdown timer display karta hai, jis se isse track karna aasan ho jata hai.
FAQ
Crypto mein funding rate kya hota hai?
Funding rate ek muqarrara waqfay se hone wali payment hai jo daimi futures market mein long aur short positions rakhne wale traders ke darmiyan exchange hoti hai. Yeh daimi contract ki qeemat ko bunyadi asset ki spot price ke sath jor kar rakhta hai. Positive rates ka matlab hai ke longs shorts ko adaigi karte hain; negative rates ka matlab hai ke shorts longs ko adaigi karte hain.
Funding rates kitne waqfay se laagu hote hain?
Binance Futures par standard interval har aath ghante baad hota hai, jis ke nateejay mein rozana teen payments hoti hain. Taaham, Binance ne 2025 mein mutaharrik adjustments mutaarif karwaye hain jo funding rates ke musalsal kam rehne par contracts ko chaar ghante ke intervals mein tabdeel kar sakti hain. Exact timing contract aur exchange ke mutabiq mukhtalif ho sakti hai, is liye apne istemal kiye janay wale platform ko check karein.
Kia mujhe hamesha funding fee adaa karni ho gi?
Zaroori nahi. Aap funding fee ada karein ge ya mosool, yeh rate ki direction aur aap ki position par munhasir hai. Agar rate positive ho aur aap long hon, to aap adaaigi karte hain. Agar rate positive ho aur aap short hon to aap payment mosool karte hain. Agar rate negative ho, to yeh roles ulat jatay hain.
Crypto funding rates ka riwayati finance se muwazna kaise hota hai?
Crypto funding rates futures mein cost of carry aur CFDs mein overnight financing charges se milte julte maqsad ko pura karte hain. Bunyadi farq yeh hain ke crypto funding barah-e-rast traders ke darmiyan exchange hoti hai (broker ko adaa nahi ki jati), rate mutaharrik hota hai aur contract-spot ka taayun premium se hota hai (muqarrara benchmark se nahi), aur yeh overnight ek martaba ke bajaye rozana kai martaba settle hota hai.
Kya funding rates ki peshgoi ki ja sakti hai?
Funding rates market ki surat-e-haal ke mutabiq tabdeel hote hain hain aur yaqeeni tor par in ki peshgoi karna mushkil hai. Traders short-term direction ka andaza lagane ke liye mojooda rate aur premium index ko monitor kar sakte hain, lekin khas tor par ziada volatility ke doran, tezi se tabdeeliyan aam hain.
Mein Binance Futures par funding rate kahan dekh sakta/sakti hoon?
Binance Futures par, har contract ke liye mojooda funding rate aur agli payment tak ka countdown trading interface ke balaai hisse mein display kiya jata hai. Aap platform ke data tools ke zariye guzashta funding rates bhi dekh sakte hain.
Ikhtitami Khayalat
Funding rates is baat ka bunyadi hissa hain ke daimi futures markets kaise kaam karti hain. Yeh contract ki qeematon ko spot prices ke sath hum aahang rakhte hain aur kisi makhsoos waqt mein long aur short demand ke darmiyan tawazun ko zahir karte hain. Agarche yeh tasawwur riwayati finance ke cost of carry se milta julta hai, lekin crypto funding rates ziada mutaharrik, ziada kasrat se tabdeel hone wale aur haqeeqi waqt par mabni market sentiment ke hawale se ziada asar pazeer hote hain.
Daimi futures istemal karne wale traders ke liye, funding rates, in ke hisab ka tareeqa aur mukhtalif markets mein in ke bahami taqabul ko samajhna, khatray ka moassar tor par manage karne ka ek eham hissa hai.
Mazeed Mutala
Disclaimer: Yeh content aap ke liye "jesa hai" ki bunyaad par sirf amoomi maloomat aur taleemi maqaasid ki gharz se pesh kiya giya hai, aur is mein kisi qisam ki numaindagi ya zamanat shamil nahin. Isse mali, qanooni ya deegar qisam ki professional advice nahi samjha jana chahiye, na he is ka maqsad kisi makhsoos product ya service ki khareedari ki tajweez dena hai. Aap ko chahiye keh zati mashwaray ke liye muta'alqa professional advisors se mashwara lein. Jahan ye content kisi third party contributor ki janib se pesh kia jaye, barahe karam note karein keh wo khayalat us third party contributor ke hain, aur zaroori nahin keh wo Binance Academy ke mu'aqif ki akasi karte hon. Digital asset ki qeemtein gher mustahkum ho sakti hain. Aap ki sarmayakari ki value kam ya ziada ho sakti hai aur ho sakta hai ke aap ko apni lagai gai raqam wapis na milay. Aap ke saramayakari ke faislon ki mukammal zimadari aap par hai aur Binance Academy aap ko honay walay kisi bhi qisam ke nuqsanaat ke liye zimadar nahi hai. Mazeed maloomat ke liye, hamari Istemal ki Sharaait, Khatray ka Intibah, aur Binance Academy ki Sharaait mulahiza karein.