Eham Nukaat
Cookies choti text files hoti hain jo websites ki taraf se aap ke browser mein mehfooz ki jati hain. Yeh aap ki tarjeehat, login status, aur session se mutalliq deegar maloomat yaad rakhti hain.
First-party cookies us website ki taraf se banaye jate hain jise aap visit karte hain aur yeh aam tor par aap ka tajarba behtar banate hain. Third-party cookies external services ki taraf se banaye jate hain aur aksar mutadid websites par tracking ke liye istemal hote hain.
Cookies web par digital shanakht se linked hote hain aur websites ko wapas aanay walay sarifeen ko pehchanne aur un ke liye content ko hasb e zarurat banane mein madad dete hain.
July 2024 mein, Google ne Chrome se third-party cookies khatam karne ka apna plan wapas le liya aur is ke bajaye user-choice model ikhtiyar kiya. Zyada tar dusre barre browsers pehle hi default tor par third-party cookies block karte hain.
Aap apne browser ki settings ke zariye cookies ko manage, mahdood ya delete kar sakte hain taa keh zyada tar websites ko mutasir kiye baghair data exposure kam kiya ja sakay.
Taaruf
Cookies woh choti files hote hain jo websites aap ke browser ke zariye aap ki device par store karte hain. Ye un sab se aam tareeqon mein se ek hain jin ki madad se web aap ko mukhtalif visits ke darmiyan yaad rakhta hai. Chahe aap login rehna chahte hon, shopping cart mein rakhi gayi items barqarar rakhna chahte hon, ya kisi website ko apni pasandeeda zaban mein dekhna chahte hon, cookies aksar pas manzar mein khamoshi se kaam kar rahe hote hain.
Cookies ki mukhtalif aqsam hoti hain, aur sab cookies yaksan tor par be-zarar nahin hote. Kuch aap ke tajarbe ko barah e raast behtar banate hain. Jab keh kuch dusre cookies advertisers aur third-party services ki taraf se aap ki browsing ki aadaton ka data jama karte hain. In ke darmiyan farq ko samajhna aap ko apni online privacy ke hawale se zyada ba-khabar faislay karne mein madad de sakta hai.
Cookie Kia Hai?
Cookie ek choti text file hoti hai jisay koi website aap ke browser se aap ki device par save karne ki darkhuwast karti hai. Is naam ki bunyaad programming ke ek concept "magic cookie" par hai, jise web ke ibtidaai daur mein developer Lou Montulli ne mashoor banaya tha.
Jab aap kisi website ko visit karte hain, to woh aap ke baray mein kuch maloomat yaad rakhna chahti hai, misal ke tor par aap ka login status, zaban ki tarjeeh ya woh items jo aap ne cart mein shamil ki hain. Website aap ke browser ko ek cookie bhejti hai aur browser usay store kar leta hai.
Agli martabah jab aap us website ko visit karte hain, to aap ka browser woh cookie website ko wapis bhej deta hai aur website un maloomat ki bunyaad par wahein se kaam jari rakhti hai jahan aap ne chora tha.
Zyada tar cookies bezarar hote hain aur amli maqsad poora karte hain. Taham isi mechanism ko mutadid websites par aap ki sargarmiyon ko track karne ke liye bhi istemal kiya ja sakta hai, jis se privacy ke hawale se tashweesh paida hoti hai.
Cookies Ki Aqsam
First-Party Cookies
First-party cookie woh cookie hota hai jo us website ki taraf se banaya jata hai jise aap barah e raast visit kar rahe hote hain. Agar aap kisi website mein login karte hain aur browser band karne ke baad bhi aap ka session barqarar rehta hai, to is ke peechhe persistent first-party cookie ka kirdar hota hai. Agar browser band karne par woh khatam ho jaye, to usay session cookie kaha jata hai.
First-party cookies ko aam tor par qabil-e-qabool samjha jata hai kyun ke un ka maqsad aksar us makhsoos website par aap ka tajarba behtar banana hota hai. Aam tor par yeh dusre domains ke saath share nahin kiye jate.
Third-party cookies
Third-party cookie woh cookie hota hai jo us domain ke ilawa kisi aur domain ki taraf se set kiya jata hai jisay aap visit kar rahe hote hain. Advertising networks, analytics providers, aur social media widgets sab websites mein aesa code shamil kar sakte hain jo aap ki device par ye cookies banata hai.
Kyun ke ek hi advertiser ka code saikrhon mukhtalif websites mein mojood ho sakta hai, is liye us ke cookies web par aap ko follow kar sakte hain. Isi tarah behavioral advertising kaam karti hai: aap ki dilchaspiyon aur aadaton ki ek profile waqt ke saath un websites ki bunyaad par tayar ki jati hai jinhen aap visit karte hain. Inhen tracking cookies bhi kaha jata hai.
Deegar Aqsaam
Nihayat zaruri cookies bunyadi website functions ko mumkin banate hain, jaisa keh shopping carts ya mehfooz login areas. Functionality cookies aap ki tarjeehat yaad rakhte hain, jaisa keh font size ya region. Performance ya analytics cookies is baat ke mutaliq majmooi data jama karte hain keh sarifeen kisi website ko kis tarah istemal karte hain.
Cookies kis cheez se mil kar bante hain?
Cookies data ko key-value pairs ki shakal mein store karte hain. Ek mamooli cookie mein session identifier, expiry timestamp, jari karne wali domain, aur mumkin hai keh koi role ya sarif ki qisam shamil ho. In mein executable code nahi hota; yeh saada text files hoti hain.
Aap apne browser mein store shuda cookies ko us ke developer tools ya privacy settings ke zariye dekh sakte hain. Chrome mein Settings > Privacy and Security > Cookies and Other Site Data par jayein. Firefox mein Preferences > Privacy & Security > Cookies and Site Data par jayein. Cookies delete karne se websites par aap ka login khatam ho jata hai aur mehfooz ki gayi tarjeehat reset ho jati hain, lekin is se koi daimi nuqsan nahi hota.
Cookies ka manfi pehlu
Third-party cookies aap ki browsing ki sargarmiyon ka kafi hissa external parties ke samne zahir kar sakte hain. Ho sakta hai keh aap ko andaza na ho keh mukhtalif websites par aap ke mutaliq kitna data jama kiya ja raha hai. Yeh maloomat farokht ya share ki ja sakti hain, aur jab inhen device fingerprinting jaisi doosri tracking techniques ke sath milaya jata hai, to in ki madad se aap ki online sargarmiyon ki tafseeli profile tayar kiya ja sakti hai.
Cookies ke zariye jama ki gayein maloomat targeted attacks mein bhi istemal ki ja sakti hain. Woh advertisers aur data brokers jo tafseeli riwaiyati profiles rakhte hain, woh aisi dhoka dahi par mabni campaigns ke mauqe paida karte hain jo infiradi sarifeen ke liye tayar ki gayi hon. Jitni zyada maloomat kisi ko aap ke mutaliq hon, utna hi zyada yaqeen afza aur haqeeqi shakhsi scam zahir ho sakta hai.
Europe mein General Data Protection Regulation (GDPR) aur United States mein California Consumer Privacy Act (CCPA) jaisi regulations websites ko paband karti hain keh woh cookies ke istemal ke baray mein wazahat karein, aur kai suraton mein, tracking cookies rakhne se pehle aap ki raza mandi hasil karein. Isi liye aksar websites par cookie ke hawale se razamandi ke banners nazar aate hain.
Apne cookies ka intizam
Aap apne browser ki settings ke zariye apne browsing ke tajarbe ko mutasir kiye baghair third-party cookies ko block kar sakte hain. Firefox, Safari aur Brave jaise browsers pehle hi default tor par third-party cookies ko block karte hain. 2025 se Chrome ne Google ke July 2024 ke us faisle ke baad, jis mein us ne third-party cookies ko mukammal tor par khatam karne ka pehla plan wapis le liya tha, blanket block ke bajaye sarif ki pasand ka model mutarif karwaya hai.
Privacy Badger aur uBlock Origin (ya Chrome par uBlock Origin Lite) jaisi browser extensions control ki ek izafi satah faraham kar sakti hain. Baqaedagi se cookies khatam karna aur hassas browsing ke liye browser ka private mode istemal karna bhi tracking ke asraat ko kam kar sakta hai.
FAQ
Kia cookies khatarnak hote hain?
Aksar cookies khatarnak nahi hote. First-party cookies jayez maqasid ke liye istemal hote hain, jaise aap ko login rakhna. Third-party cookies privacy ke hawale se tashweesh paida kar sakte hain kyun keh woh mukhtalif websites par aap ke rawaiye ko track karte hain, lekin un mein koi nuqsan deh code nahi hota. Khatra bazat e khud cookies mein nahi, balkeh data jama karne aur profiling mein hota hai.
Kia main cookies ke baghair browsing kar sakta/sakti hoon?
Ji haan. Aap apne browser ki settings mein tamam cookies ko disable kar sakte hain, lekin is se bohat si websites durust tor par kaam nahi karein gi: login sessions barqarar nahi rahein ge, shopping cart ka data reset ho jaye ga, aur aap ki tarjeehat mehfooz nahi rahein gi. Zyada amli tareeqa yeh hai keh first-party cookies ki ijazat di jaye aur third-party cookies ko block kar diya jaye.
Google ke third-party cookies ko khatam karne ke plan ka kia hua?
Google ne asal mein 2022 tak marhala war tor par Chrome se third-party cookies ko khatam karne ka plan banaya tha, lekin baad mein is timeline ko kai martaba aage barhaya gaya. July 2024 mein Google ne apna faisla mukammal tor par tabdeel kar diya aur elaan kiya ke woh third-party cookies ko khatam nahi kare ga. Is ke bajaye, Chrome ab sarifeen ko ikhtiyari intikhab ka prompt faraham karta hai, jis ke zariye woh faisla kar sakte hain ke un ki browsing ke douran cookies ko kis tarah handle kiya jaye. Firefox aur Safari jaise doosre browsers is se pehle hi default tor par third-party cookies ko block kar chuke thay.
Cookies ka social engineering se kia taluq hai?
Cookies ki bunyaad par ki jane wali tracking ki madad se rawaiya jati profiles tayar ki jati hain jinhen targeted social engineering hamlon mein istemal kiya ja sakta hai. Agar kisi hamla aawar ya data broker ko aap ki browsing ki aadat, dilchaspiyon aur rawaiyon ka ilm ho, to woh nihayat shakhsi noiyat ke dhoka dahi par mabni paighamat ya scams tayar kar sakta hai. Isi wajah se third-party tracking ko kam karna aap ke majmooi security risk ko bhi kam karta hai.
Kia cookies se mere cryptocurrency accounts mutasir hote hain?
Session cookies exchange platforms aur wallets par aap ki login state ko barqarar rakhte hain. Agar kisi shakhs ko compromised browser ya network ke zariye aap ke active session cookie tak rasai hasil ho jaye, to woh mumkina tor par password ke baghair bhi aap ke account tak rasai hasil kar sakta hai. Mehfooz aur up-to-date browsers ka istemal karna aur mushtarka ya awaami devices par cookies ko khatam kar dena is khatre ko kam karta hai.
Ikhtitami Khayalat
Cookies web ke kaam karne ke bunyadi ajza mein se ek hain. First-party cookies aam tor par aap ke tajarbe ko zyada behtar banate hain. Third-party cookies zyada mutanazeh hain, aur un ke gird mojood manzar nama ab bhi tabdeeli ke marahil se guzar raha hai. 2024 mein Google ke Chrome mein third-party cookies ko barqarar rakhne ke faisle, jab keh doosre browsers ka un ka khatma karne ka faisla yeh baat sabit karta hai keh web abb bhi is baat par munqasim hai keh functionality aur privacy ke darmiyan tawazun kis tarah qaem kiya jaye.
Cookies kia hain aur un ka intizam kis tarah kiya jata hai, is baat ki samajh aap ko apne data par zyada ikhtiyar deti hai. Aaj kal zyada tar browsers aese aasan tools faraham karte hain jo roz marrah ki browsing ko mutasir kiye baghair tracking ko mehdood karne mein madad dete hain.
Mazeed Mutala
Disclaimer: Ye content aap ke liye "jesa hai" ki bunyad par sirf amoomi maloomat aur taleemi maqaasid ki gharz se pesh kiya giya hai, aur is mein kisi qisam ki numaindagi ya zamanat shamil nahin. Isse mali, qanooni ya deegar qisam ki professional advice nahi samjha jana chahiye, na he is ka maqsad kisi makhsoos product ya service ki khareedari ki tajweez dena hai. Aap ko chahiye keh zati mashware ke liye muta'alqa professional advisors se mashwara lein. Jahan ye content kisi third party contributor ki janib se pesh kia jaye, barahe karam note karein wo khayalat us third party contributor ke hain, aur zaroori nahin ke wo Binance Academy ke mu'aqif ki akasi krte hon. Digital assets ki qeematein gher mustehkum ho sakti hain. Aap ki sarmayakari ki value kam ya ziada ho sakti hai aur ho sakta hai ke aap ko apni lagai gai raqam wapis na mile. Aap ke saramayakari ke faislon ki mukammal zamadari aap par hai aur Binance Academy aap ko hone wale kisi bhi qisam ke nuqsanat ke liye zimadar nahi hai. Mazeed maloomat ke liye, hamari Istemal ki Sharaait, Khatre ka Intibah aur Binance Academy ki Sharaait mulahiza karein.