Eham Nukaat
Binance Futures par riwayati maliyati (TradFi) assets ki ek barri tadaad daimi contracts ki surat mein pesh ki jati hai, jin mein commodities, ETF indices, equities aur technology stocks shamil hain.
Dastiyab assets ki fehrist mein gold jaise qeemti metals, S&P 500 (SPY) aur Nasdaq 100 (QQQ) jaise barre index ETFs, aur NVIDIA, Apple aur Microsoft jaise wasee paimane par hold kiye jane wale stocks shamil hain.
Yeh contracts USDT mein settle hote hain aur 24/7, yani har waqt trade kiye ja sakte hain.
Yeh derivative contracts hote hain, bunyadi stock, ETF ya commodity ki milkiyat nahi. Leverage ki ziada se ziada hadd contract ke lihaz se mukhtalif hoti hai, aur leverage istemal karne se mumkinah munafon aur mumkinah nuqsanat dono mein izafa ho jata hai.
Taaruf
Binance Futures ka maqsad mashhoor stocks, commodities aur ETF indices ko trade kiye jane walay daimi futures contracts ki surat mein pesh kar ke riwayati maliyaat (TradFi) aur crypto ke darmiyan mojood khalaa ko pur karna hai.
Jis project ka aaghaz qeemti metals aur crypto se munsalik chand ek stocks se hua tha wo ab dastiyab assets ki taweel fehrist mein tabdeel ho chuka hai jis mein Apple, Microsoft aur Meta jaisi bari Tech companies, NVIDIA, TSMC aur Broadcom jaise semiconductor leaders, aur S&P 500, Nasdaq 100, Japan aur South Korea ki maqami markets ko track karne wale eham index ETFs shamil hain.
2026 ke aaghaz se ab tak, dastiyab TradFi contracts ki fehrist mein mazeed izafa hota ja raha hai, aur saal bhar mein bohat se naye stock aur ETF daimi contracts shamil kiye ja chuke hain. Neeche diye gaye sections mein sector ke lehaz se tarteeb diye gaye in assets ka misali intikhab pesh kiya giya hai, sath hi contract ke aise mushtarika usool bhi bayan kiye gaye hain jinhein trading karne se pehle samajhna zaroori hai.
Contract ki mushtarika khasoosiyaat
Binance Futures par mojood ziada tar TradFi ke daimi contracts ke tareeqay ek jaise hi hote hain. Darj zel table mein aam parameters ka khulasa pesh kiya giya hai.
Yeh funding rates long aur short traders ke darmiyan har aath ghante baad exchange hote hain, jis se contract ki qeemat ko bunyadi market ke sath hum aahang rakhne mein madad milti hai. Yaad rakhein keh Binance market mein khatre ki surat-e-haal ke mutabiq funding fees, tick size, leverage aur margin ke taqazon jaisi contract ki khasusiyaat tabdeel kar sakta hai. Trade karne se pehle hamesha har contract ke live parameters check kar lein.
Qeemti Metals
Commodities ko aksar mehngai aur market volatility ke baray mein khayalat ka izhar karne ke liye istemal kiya jata hai. Binance chaar eham tareen qeemti metals ke contracts pesh karta hai: gold (XAU), silver (XAG), platinum (XPT), aur palladium (XPD).
Gold (XAU)
Gold ko aam tor par paise ki qadeem tareen suraton mein shumar kiya jata hai aur value ko mehfooz rakhne ka behtareen zariya samjha jata hai. XAUUSDT contract traders ko gold ki qeemat par position hasil karne ki sahulat deta hai jis se unhein asal bar khareedne ya mehfooz rakhne ke liye storage ki adaigi nahi karni parti.
Binance ke ek blog post ke mutabiq, Binance TradFi ke launch ke 90 din ke andar gold trade karne ki rozana ki sargarmi buland tareen satah yani taqreeban $7.77 billion tak pohanch gayi. Yeh COMEX (CME Group’s Designated Contract Market) ke volumes ke 3-8% ke barabar hai.
Yaad rahe keh blockchain par record ki jane wali asli gold ki milkiyat ko zahir karne wala tokenized gold, gold wale daimi contract se mukhtalif hai.
Silver (XAG)
Silver na sirf value mehfooz rakhne ka zariya hai balkeh yeh ek industrial metal bhi hai, jo solar panels, electronics aur medical devices mein istemal hota hai. Is dohri noiyat ki wajah se gold ke muqable mein is ki qeemat mein ziada utaar charhao aa sakta hai.
Platinum (XPT)
Platinum ek nayab metal hai jo automotive catalytic converters aur fuel cell technology mein barre paimane par istemal hoti hai. XPT ki trading karne se traders ko yeh sahulat milti hai keh woh auto industry ki halat aur green energy transition mein hone wali peshraft par apni raye ka izhar kar sakein.
Palladium (XPD)
Platinum ki tarah, palladium bhi ek eham industrial metal hai, jo bunyadi tor par catalytic converters mein istemal hota hai. Is ki qeemat par asar andaz hone wale eham awamil mein supply chain ki surat-e-haal aur Russia aur South Africa samait mining karne wale barre mumalik mein production ke halaat shamil hain.
Energy aur Industrial Metals
Qeemti metals ke ilawa energy aur industrial commodities traders ko maashi taraqqi, mehangai aur supply chains ke baray mein apni raye zahir karne ki sahulat deti hain.
Crude oil (CL)
Crude oil sab se ziada trade ki jane wali energy commodities mein shumar ki jati hai, jo transport ke ikharajaat se le kar mehngai tak har cheez ko mutasir karta hai. Binance Futures par CL derivative contracts ki trade karne ka matlab hai keh traders ko barrels ki asal mein deliveries sambhalne ya riwayati brokerage account kholne ki zarurat nahi hoti.
Copper (COPPER)
Copper tamerati kaamon, electronics aur manufacturing mein istemal hota hai, is liye is ki qeemat ko aksar industrial demand ke paimane ke tor par dekha jata hai. Commodities ke liye Binance Futures par mojood degar TradFi contracts ki tarah, is tareeqe se in riwayati markets tak rasai hasil karne se asal saman ki deliveries sambhalne ki zaroorat khatam ho jati hai.
Indices aur ETFs
ETF se munsalik daimi contracts mashhoor exchange ke zariye trade kiye jane wale funds ki qeemat ko track karte hain, jis se wasee market indices aur ilaqai equity markets mein sarmaya kari karne ka moqa milta hai.
Invesco QQQ Trust (QQQ)
QQQUSDT contract Invesco QQQ Trust ko track karta hai. Yeh duniya ke sab se ziada trade kiye jane wale ETFs mein shumar hota hai, yeh Nasdaq ki sab se bari 100 ghair maliyati companies ko follow karta hai aur US technology sector mein sarmaya kari karne ka wasee moqa faraham karta hai.
SPDR S&P 500 ETF Trust (SPY)
SPYUSDT contract SPDR S&P 500 ETF Trust ko track karta hai, jisse aam tor par majmoi US stock market ke benchmark ke tor par dekha jata hai.
iShares MSCI South Korea aur Japan (EWY, EWJ)
Ilaqe ke lihaz se sarmaya kari ka moqa hasil karne ke liye, EWYUSDT aur EWJUSDT contracts South Korea aur Japan ki barri aur darmiyani satah ke sarmaye wali equities ke ETFs ko follow karte hain, in markets mein semiconductors, automotive aur consumer electronics ke global leaders mojood hote hain.
Crypto aur Fintech Stocks
Yeh companies riwayati maliyaat aur crypto economy ke sangam par mojood hain. In ke share ki qeematein digital asset markets ke saath hum ahangi se move kar sakti hain, jis ki wajah se yeh crypto istemal karne wale traders ke liye fitri intikhab ban sakti hain. Yeh contracts mil kar consumer electronics ki demand, enterprise software, cloud growth aur AI integration mein sarmaya kari karne ka moqa faraham karte hain.
Strategy (MSTR)
Strategy (jisse pehle MicroStrategy kaha jata tha) ek business intelligence software company hai jo apni balance sheet par barri miqdaar mein Bitcoin hold karne ke liye mashhoor hai, is liye MSTR contract indirect tareeqe se BTC mein sarmaya kari karne ke zariye ke tor par kaam kar sakta hai, jis mein izafi corporate awamil bhi shamil hote hain.
Coinbase (COIN)
Coinbase aam awam mein trade hone wali ek crypto exchange hai jis ka stock aksar wasee crypto market ko track karta hai. Is ka matlab hai keh investors COIN contracts ke zariye majmoi crypto market tak rasai hasil kar sakte hain.
Robinhood (HOOD)
Robinhood ek aisa trading platform hai jis ne retail investors ke liye commission ke baghair stock aur crypto trading ko maqbool banaya. Isay kabhi kabhar retail investor ke jazbaat ka paimana tasawur kiya jata hai.
Circle (CRCL)
Circle hi woh company hai jis ne USDC banaya hai, market cap ke lihaz is ka shumar sab se barre stablecoins mein hota hai, is liye is ka contract stablecoin ke sector aur digital payments infrastructure ki growth ko track karta hai.
PayPay (PAYP)
PayPay Japan ka ek numaiyan mobile payment platform hai, jo asal mein 2018 mein SoftBank aur Yahoo Japan ke mushtarika mansoobe ke tor par launch kiya giya tha. PayPay ne 12 March, 2026 ko apna Nasdaq IPO mukammal kiya, aur is ke nateeje mein taqreeban $880 million hasil kiye.
PAYP mein trading karne se traders ko Asia ki sab se barri economies mein se kisi ek mein cashless payments ki growth ke baray mein andaza lagane ka moqa milta hai.
Big Tech
Duniya mein kuch sab se barri technology companies Binance Futures par contracts ki surat mein dastiyab hain. Yeh traders ko product launches, aamadni ki reports aur macro trends ki bunyaad par apne khayalat ka izhar karne ka moqa deti hain.
Tesla (TSLA)
Tesla ka shumar duniya ke numaiyan electric vehicle banane wali numaiyan tareen companies mein hota hai. Is ka stock utaar charhao ka shikar ho sakta hai, yeh aksar EV industry, energy storage aur is ke CEO, Elon Musk ki public profile se mutaliq khabron ki wajah se harkat karta hai.
Amazon (AMZN)
Amazon duniya mein sab se barri e-commerce marketplace ko cloud infrastructure ke ek barre faraham kuninda, AWS ke sath jorta hai.
Meta Platforms (META)
Meta Platforms (META) duniya mein sab se ziada istemal hone wali apps mein se kuch apps ke malik hain: in mein Facebook, Instagram aur WhatsApp shamil hain. Is ki ziada tar aamdani digital advertising se aati hai, is liye is ka stock online ad market ke liye ek proxy ke tor par kaam kar sakta hai.
Alphabet (GOOGL)
Google, YouTube aur Google Cloud ko banane wali company ka naam Alphabet hai. GOOGL ki trading karne se cloud computing aur artificial intelligence (AI) ke sectors mein sarmaya kari karne ka moqa mil sakta hai.
Apple (AAPL)
Apple (AAPL) duniya ki sab se qeemti companies mein shamil hai, yeh iPhone, Mac, iPad aur subscription services ke barhte hue majmue ke tor par jaani jati hai. Traders consumer electronics ke shobay, app ki economy aur device par chalne wali AI market mein sarmaya kari kar sakte hain.
Microsoft (MSFT)
Microsoft (MSFT) Azure, Office 365, LinkedIn aur Xbox chalata hai, aur OpenAI mein is ki sarmaya kari ne isay commercial AI ke farogh ka eham hissa bana diya hai. Yeh un traders ke liye munasib contract ho sakta hai jo enterprise software aur cloud growth mein sarmaya kari karna chahte hain.
Semiconductors
Semiconductors duniya ki economy aur is se barh kar AI ke liye hardware ki bunyaad hain. Yeh category chip design, manufacturing aur storage par mushtamil hai.
NVIDIA (NVDA)
NVIDIA (NVDA) aise graphics processing units (GPUs) design karta hai jo AI models ki training aur inference ke liye nihayat eham hain. NVDA ke zariye, traders ko AI infrastructure ki taameer mein barah-e-raast sarmaya kari karne ka moqa milta hai.
Micron (MU)
Micron DRAM aur NAND memory chips banata hai jo data centers aur smartphones mein mojood hote hain, is ke ilawa High Bandwidth Memory bhi banata hai jis par GPU clusters inhisar karte hain. Guzishta chand saalon mein AI ke urooj ke doran, Micron ki High Bandwidth Memory (HBM) ki demand mein izafa hua hai, kiun keh GPU clusters ko kaam karne ke liye tez aur khas qisam ki memory ziada tadad mein chahie hoti hai.
SanDisk (SNDK)
SanDisk NAND flash storage banata hai, jo SSDs, memory cards aur enterprise storage systems mein mojood hoti hai. Western Digital ne 2016 mein SanDisk khareeda tha, lekin dono companies ke darmiyan corporate alehdagi 2025 ke ibtida mein mukammal hui.
SNDK ki trading karne se data storage demand mein sarmaya kari karne ka moqa mil sakta hai, jo AI workloads aur consumer electronics ki production cycles ke sath barh sakti hai.
TSMC (TSM)
Taiwan Semiconductor Manufacturing Company (TSMC) duniya ki sab se barri contract chip banane wali company hai. Yeh Apple, NVIDIA aur AMD jaisi companies ke liye chips banati hai, aur is ki trading global semiconductor supply chain aur AI chip production ke farogh mein sarmaya kari ka moqa deti hai.
Broadcom (AVGO)
Broadcom networking chips aur custom AI accelerators supply karta hai. 2023 mein is ne VMware khareeda taa keh semiconductor chips se enterprise infrastructure software tak apna daira wasee kar sake. AVGO ki trading karne se AI infrastructure ki us satah tak rasai mil sakti hai jo GPU suppliers tak phaili hui hai.
Intel (INTC)
Intel (INTC) laptops, servers aur data centers ke liye processors banata hai, aur is ki chips consumer electronics se le kar cloud computing aur crypto mining tak har cheez ke liye bunyadi hasiyat rakhti hain.
Company guzishta chand saalon se barre paimane par restructuring ke amal se guzar rahi hai, jis mein workforce mein kami aur foundry (chip manufacturing) services ki taraf strategic shift shamil hai.
Data, AI, aur Global Markets
Is group mein AI par markooz data analytics company aur Asia ki sab se barri technology companies ke groups mein se kisi ek company mein shamil kiya giya hai.
Palantir (PLTR)
Palantir barre data analytics aur AI mein maharat rakhti hai, is ke paas hukoomati aur tijarati satah ke eham contracts mojood hain. Agar aap AI par mabni data infrastructure ke taweel muddati imkanat mein dilchaspi rakhne wale trader hain, to aap PLTR ki trading par ghor kar sakte hain.
Alibaba (BABA)
Alibaba China ki sab se barri e-commerce aur cloud computing companies mein se ek hai, aur is ka contract (ADR ke tor par darj) Chinese sarifeen ke ikhrajaat aur mulk ke technology ke sector ke badalte hue qawaneen ke manzar naame mein sarmaya kari ka moqa faraham karta hai.
FAQ
Binance Futures par TradFi assets kia hote hain?
Yeh daimi futures contracts hote hain jo stocks, ETFs aur commodities jaise riwayati maaliyati assets ki qeemat ko track karte hain. Aap bunyadi stocks, fund share, ya asal commodity ko hold kiye baghair USDT istemal kar ke in assets par long ya short positions hasil kar sakte hain.
Kia mere paas asal stock ya commodity mojood hai?
Nahi. Yeh derivative contracts hote hain. TradFi contract ki trading karne se aap ko bunyadi asset ki qeemat tak rasai milti hai. Lekin, aap ke paas share, ETF unit ya asal metal ki milkiyat nahi hoti, aur aap ko dividends ya voting jaise shareholder ke haqooq bhi nahi milte.
Kis hadd tak leverage dastiyab hai?
Leverage aam nahi balkeh contract ke lihaz se makhsoos hoti hai. Kai TradFi contracts 20x ya 25x tak offer karte hain, jab keh copper jaisi kuch metals contracts is se bhi ziada offer karte hain. Aap asal mein jo ziada se ziada leverage istemal kar sakte hain woh aap ke position size aur risk limits par bhi munhasir ho sakta hai, is liye har contract ke live parameters check karein.
Kia main 24/7 in contracts mein trade kar sakta/sakti hon?
Ji haan. Riwayati stock exchanges ke trading ke auqat muqarrar hote hain, is ke baraks Binance Futures par yeh daimi contracts har waqt, weekends par bhi trade kiye ja sakte hain.
Ikhtitami Khayalat
Binance Futures par TradFi assets ki barhti hui tadaad financial markets tak rasai mein wasee paimane par izafe aur dakhle ki kam rukawaton ko zahir karti hai. Chahe aap inflation hedge ke khilaf tahaffuz ke tor par gold mein, wasee US equity mein sarmaya kari ke liye S&P 500 mein, ya Japan aur South Korea jaisi ilaqai markets mein dilchaspi rakhte hon, ab aap USDT settlement ke sath crypto-native platform par har waqt in tak rasai hasil kar sakte hain.
Yaad rakhein ke yeh derivative products hain. Aap ke paas asal stock, ETF share ya commodity ki milkiyat nahi hoti, aur kiun keh leverage dastiyab hai, is liye mumkinah munafa jaat aur nuqsanat dono barh jate hain. Koi bhi trade karne se pehle contract ke tareeqa-e-kaar ko achi tarah samajh lein.