Fed Stablecoin ke Zawabit: Tajweez karda Qawaid ka Kia Matlab Hai

Fed Stablecoin ke Zawabit: Tajweez karda Qawaid ka Kia Matlab Hai

Mubtadi
Update shuda Sep 29, 2026
6m

Eham Nukaat

  • September 2026 mein, US Federal Reserve ne adaigi wale stablecoinske liye qawaid tajweez kiye, is tarah yeh US ki ek aisi aakhri barri agency ban gayi jis ne yeh wazeh kiya hai keh woh in ki nigrani kis tarah kare gi.

  • In tajaweez ke zariye GENIUS Act ko amal mein laya ja raha hai, jo US ka wo qanoon hai jis mein adaigi ke liye istemal hone wale stablecoins ko munazzam karne ka framework tay kiya jata hai.

  • Bunyadi nukaat mein a'ala mayari assets ke zariye mukammal 1:1 reserve backing, sarmaye ke ek jaise taqaaze, reserves hold karne wale banks ke liye qawaneen, aur stablecoins jari karne ke khuwahishmand banks ke liye darkhawast ka amal shamil hain.

  • Yeh hatmi qawaid nahi, balkeh tajaweez hain. Fed in tawajeez ko Federal Register mein publish karne ke baad 60 din tak awami tabsare qabool kare ga, is liye makhsos tafseelaat mein tab tak tabdeeli ki ja sakti hai.

Binance Academy ke courses ka banner

Taaruf

September 2026 mein, US Federal Reserve (Fed) ne adaigi wale stablecoins ke liye qawaid ka ek majmua tajweez kiya. Is iqdam se, Fed ek aisi aakhri barri US agency ban gayi jis ne wazeh kiya keh woh market ke is hisse ki nigrani kis tarah se kare gi.

Is article mein bataya giya hai keh Fed ne kia tajweez kiya hai, is ki kia ehmiyat hai, aur stablecoin ki nigrani ke hawale se US ke wasee tar nazriye se is ka kia taaluq hai. Yaad rakhein keh yeh hatmi qawaid nahi, balkeh tajaweez hain, is liye darj zel tafseelaat September 2026 tak ki mojooda tajweez ki akasi karti hain.

Stablecoins ko Regulate Kiun Kiya Ja Raha Hai

Adaigi wale stablecoin ka maqsad yeh hota hai keh is ki qeemat kisi fiat currencyki ek unit ke taqreeban barabar rahe, jo aksar ek US dollar hoti hai. Is qeemat ko mustahkam rakhne ke liye, issuer se tawaqqo ki jati hai keh woh gardish mein rehne wale tokens ke badle mein reserves mehfooz rakhe. Agar logon ko yaqeen ho keh har token ko is ki muqarrarah qeemat par redeem kiya ja sakta hai, to coin ki qeemat apne peg ke qareeb reh sakti hai.

Kiun keh stablecoins ko bohat se log qeemat muntaqil aur mehfooz karne ke liye istemal karte hain, is liye regulators chand bunyadi sawalat par tawajju dete hain. Kia reserves haqeeqi, mehfooz hain aur unki utni hi qeemat hoti hai jitni tokens ke baray mein daawa kiya jata hai? Kia holders apne tokens ko bharosemand tareeqay se redeem kar sakte hain? Aur kia kisi barre issuer ke masail ke asraat poore maali nizaam tak phail sakte hain? Wazeh qawaid ka maqsad yeh hai keh masail paida hone se pehle in sawalat ke jawab diye ja sakein.

GENIUS Act: Asal Bunyaad

Fed ki tajaweez GENIUS Act ke tehat kaam karti hain, yeh US ka ek qanoon hai jis ke tehat adaigi ke liye istemal hone wale stablecoins ke liye federal framework banaya giya. Dusre alfaaz mein, is qanoon ke zariye maqasid tay kiye gaye, aur Fed jaisi agencies ab unhein nafiz karne ke liye tafseeli qawaid tayyar kar rahi hain.

Qanoon pehle hi bunyadi simt tay kar chuka hai, jaisa keh mazboot reserves ka hona aur issuers ki nigrani karna. Mojooda tajaweez ka asal maqsad yeh wazeh karna hai keh nigrani mein kaam karne wale issuers aur banks amli tor par in qanooni zarooriyat ko kis tarah poora karein ge.

Fed ne Kon si Tajweez Pesh Ki

Fed ne do tajweez karda qawaid jari kiye. Pehla qaida stablecoin issuers ke liye taqaaze muqarrar karta hai, jab keh doosra makhsoos banks ke liye darkhawast ka amal tayyar karta hai. Tasdeeq shuda hisse zel mein bayan kiye gaye hain.

Mukammal reserve backing

Fed ki nigrani mein kaam karne wale adaigi ke stablecoin issuers ko apne jari shuda tokens ko qabil-e-qabool reserve assets se mukammal tor par support karna ho ga. Yeh kaseer muddati Treasury bills jaise a'ala mayari, liquid assets hote hain. Is ka ek aam sa maqsad hai: gardish mein mojood har token ke liye haqeeqi, aasani se farokht kiye jane wale assets mojood hon taa keh holders bharosemand tareeqay se redeem kar sakein.

Yeh tasawwur proof of reservesse kaafi hadd tak milta julta hai, jis mein yeh dikhaya jata hai keh reserves waqai mojood hain aur ada ki jane wali raqam ke barabar hain. Reserve ke behtareen qawaid ka maqsad coin ke peg khone ke khatre ko kam karna hai.

Sarmaye aur khatray ka nazm karne ke maiyaraat

Pehle qaiday mein stablecoin ki sargarmion ke liye sarmaye ke maiyari taqaaze aur khatre ka intizaam karne ke maiyaraat bhi tajweez kiye gaye hain. Sarmaya ek aise maali sahare ke tor par kaam karta hai jo issuer ko credit ya operational masail se hone wale nuqsanat bardasht karne mein madad deta hai. Maqsad yeh hai keh maslay ki surat mein issuers ziada behtar tareeqay se tayyar rahein.

Reserves hold karne wale banks ke liye qawaid

Is tajweez mein un banks ka bhi zikr hai jo Fed ki nigrani mein stablecoin reserves ko custody mein rakhte hain ya mehfooz tareeqe se hold karte hain. Is mein wazeh kiya giya hai keh yeh banks is hawale se kon si sargarmiyan anjaam de sakte hain. Is se yeh samajhne mein madad milti hai keh stablecoins ko support karne ke liye banks kia kirdar ada kar sakte hain.

Bank issuers ke liye darkhawast dene ka amal

Doosra qaida subsidiaries ke zariye stablecoins jari karne ke khawahishmand state member banks ke liye darkhawast dene ka ek munasib amal tayyar karta hai. Bank ko business plan aur mali maloomat jaisi dastawizat jama karwani hon gi, aur Is process mein appeals, hearings aur hatmi faislay karne ke tareeqe shamil hain. Is se nigrani karne wale banks ko stablecoin ke shobay mein dakhil hone ka ek wazeh rasta maloom ho jata hai.

Mojooda Surat-e-haal aur Agly Iqdamaat

Yaad rakhein: yeh hatmi qawaid nahi balkeh tajaweez hain. Fed ne kaha hai keh tajaweez ko Federal Register mein publish karne ke baad 60 din tak awami tabsare qabool kiye jayein ge. Is doran awam, companies aur doosre groups feedback de sakte hain, taa keh kisi bhi cheez ko hatmi shakal dene se pehle us ki makhsoos tafseelat mein tabdeeli ki ja sake.

Announcement ke hawale se reporting mein yeh bhi bataya gaya hai keh Fed ke governor, Michael S. Barr ne tajweez mein anti-money laundering ki nigrani ke hawale se sar-e-aam tashweeshat ka izhar kiya. Is se zahir hota hai ke in qawaid par behas ho sakti hai aur mumkin hai keh mukammal hone se pehle in mein tabdeeliyan bhi ki ja sakein.

Wasee tar Manzar Naame Mein Kis tarah Fit hota Hai

Fed crypto ki nigrani mein shamil kai US authorities mein shumar ki jati hai, jo Commodity Futures Trading Commission (CFTC) jaise idaaron ke sath kaam karti hain. FDIC aur Office of the Comptroller of the Currency sameit doosre bank regulators pehle hi apne stablecoin ko naafiz karne ke qawaid pesh kar chuke hain. 

Kiun keh Fed ko un aakhri barre idaaron ke tor par bayan kiya jata hai jo is qisam ke qawaid pesh kar rahe hain, is liye is ki tajweez GENIUS Act ke tehat US ke nigrani ke nizaam ki tasveer ko mukammal karne mein madad deti hai.

Mulk ke central bank hone ki wajah se Fed US ke maali nizaam mein markazi kirdar ada karta hai. Is ki shirakat is baat ki nishandahi karti hai keh regulators barre stablecoins ko payments ke nizam ka ek eham hissa samajhte hain.

FAQ

Kia Fed ke stablecoin ke qawaid hatmi hain?

Nahi. September 2026 tak inhein tajaweez samjha jata hai. Tajaweez ko Federal Register mein publish karne ke baad Fed 60 din tak tabsare qabool kare ga, aur kisi bhi qisam ke qawaid ko hatmi shakal dene se pehle tafseelaat mein tabdeeli ki ja sakti hai.

Tajweez ke tehat adaigi mein istemal hone wale stablecoin ko kis cheez se backed hona lazmi hai?

Supervised issuers ko tokens ko kaseer muddati Treasury bills jaise qabil-e-qabool, a'ala maiyari liquid reserve assets se mukammal tor par support karna ho ga, taa keh holders bharosamand tareeqay se apne tokens redeem kar sakein.

GENIUS Act se is ka kia taaluq hai?

GENIUS Act US ka woh qanoon hai jo adaigi wale stablecoins ke liye ek nizaam tay karta hai. Fed ki tajaweez se murad aise tafseeli qawaid hain jo is qanoon ko amli tor par istemal karne ke liye banaye gaye hain.

Kia in tajaweez ke tehat banks stablecoins jari kar sakte hain?

Tajaweez mein un state member banks ke liye darkhawast ka amal shamil hai jo subsidiaries ke zariye stablecoins jari karna chahte hain, is ke liye business plan aur maali maloomat jaisi dastawizat darkar hon gi, is ke ilawa appeals aur hearings ke tareeqay bhi shamil hon gy.

Ikhtitami Khayalaat

Fed ki September 2026 ki tajaveez America mein payment stablecoins ki nigrani ke nizaam ko tashkeel dene ki simt mein ek eham qadam hain. Tasdeeq shuda bunyadi nukaat mein mukammal reserve backing, sarmaye aur khatray ke intizam ke mayaraat, reserves hold karne wale banks ke liye qawaid, aur un banks ke liye wazeh tareeqa shamil hai jo stablecoins jari karna chahte hain. Kiun keh yeh abhi sirf tajaweez hain, is liye logon ki raye dene ki muddat khatam hone aur feedback ka jaiza lene ke baad hatmi qawaid kuch had tak mukhtalif ho sakte hain.

Mazeed Mutala