Eham Nukaat
Ethereum September 2022 mein Merge ke zariye Proof-of-Work se Proof-of-Stake par muntaqil hua, jis se energy ka istemal 99% se zyada kam ho gaya aur miners ki jagah ETH stake karne walay validators ne le li.
ETH holders staking mein hissa le kar yield kama sakte hain, jis se Salana munafe aam tor par 2.5% se 4% ke darmiyan rehte hain. Liquid staking protocols holders ko trade hone ke qabil tokens faraham karte hain jab keh un ke ETH se inamat hasil hote hain.
Proof-of-Stake issuance mein kammi aur EIP-1559 ke fee-burning mechanism ke majmooi asraat ne ETH ke supply dynamics ko tabdeel kar diya hai, jis ka baais Merge ke baad se ETH ki kul supply nisbatan mustehkam rahi hai.
Baad ke upgrades, yani Shapella (2023)، Dencun (2024)، Pectra (2025) aur Fusaka (2025) ne staking withdrawals ko mumkin banaya, Layer-2 ki fees kam ki, aur validators ki karkardagi behtar banayi. Agli upgrade Glamsterdam hai.
Taaruf
Ethereum smart contracts aur decentralized applications (DApps) ke liye ek numaya blockchain platform hai. 15 September 2022 ko, is ne Merge ko mukammal kia, jo ek tareekhi upgrade tha jis ke zariye se Proof-of-Work mining ko mustaqil tor par Proof-of-Stake validation se tabdeel kar diya.
ETH holders ke liye is tabdeeli ne network ki security, ETH supply ke waqt ke saath tabdeel hone ke tareeqe, aur network ke operation mein shirkat ke tareeqon ko bunyadi tor par badal diya.
Is article mein wazahat ki gayi hai keh aaj ke daur mein Proof-of-Stake ETH holders ke liye kia maani rakhta hai. Is mein staking mechanics, liquid staking, supply dynamics aur un upgrades ka jayeza liya gaya hai jo Ethereum ecosystem ki musalsal behtri mein kirdar ada kar rahay hain.
Ethereum Par Proof-of-Stake Kis Tarah Kaam Karta Hai
Proof-of-Stake ke tehat, validators ETH ko zamanat ke tor par deposit karte hain aur phir unhein tasadufi tor par naye blocks propose karne aur un ki tasdeeq karne ke liye muntakhib kiya jata hai. Yeh consensus mechanism Proof-of-Work ke zyada energy talab karne walay mining hardware ki jagah leta hai, aur Ethereum ki bijli ke istemal ko taqreeban 99.95% tak kam kar deta hai.
Ek solo validator chalane ke liye, aap ko kam az kam 32 ETH ko Beacon Chain deposit contract mein deposit karna zaroori hai. Validators blocks propose karne aur dusre validators ke blocks ki sahih hone ki tasdeeq karne par inamat hasil karte hain. Agar koi validator badniyati se kaam kare ya taweel muddat tak offline rahe, toh us ke stake ka kuch hissa slash kiya ja sakta hai, yani usay mustaqil tor par circulation se nikal diya jata hai.
Aksar ETH holders ke liye, kam se kam 32 ETH, technical taqazon, aur downtime ke baais lagne wali penalties ki waja se toseeq kaar node ko khud chalana amli tor par mushkil hota hai. Natijatan, staking mein aksariyat ki shirkat staking pools aur liquid staking protocols ke zariye hoti hai.
ETH Holders Ke Liye Staking Ka Kia Matlab Hai
June 2026 tak, 34 million se zyada ETH, aik million se zyada active toseq kaaron ke zariye stake kiya ja chuka hain. Staking yield stake kiye gayi ETH ki kul amount ke mutabiq tabdeel hoti rehti hai, lekin Merge ke baad se yeh aam tor par salana 2.5% se 4% ke darmiyan rahi hai. Jab zyada ETH stake kiye jatay hain, toh har toseeq kar ke liye inaam ka rate kam ho jata hai, aur jab kam ETH stake hon, toh inaam ka rate barh jata hai.
liquid staking aksar holders ke liye shirkat ka sab se mashoor tareeqa ban chuka hai. 32 ETH lock karne aur toseeq kaar ka software chalane ke bajaye, holders kisi bhi amount mein ETH liquid staking protocol mein deposit kar sakte hain aur badle mein stETH ya rETH jaisa tradable receipt token hasil karte hain jo un ki stake ki gayi position aur jama shuda inamat ko zahir karta hai.
Yeh receipt tokens DeFi applications mein bhi istemal kiye ja sakte hain, jis se holders staking yield hasil karne ke sath sath apne sarmaye ko dusri jagahon par bhi kaam mein la sakte hain.
Restaking protocols staking ke upar ek izafi layer ke tor par samne aaye hain, jo stake kiye gaye ETH ko ek hi waqt mein dusre networks ya services ki security ke liye istemal karne ki ijazat dete hain taa keh izafi yield hasil ki ja sake. Yeh innovation stake kiye gaye ETH ki utility ko barhati hai, lekin is ke sath smart contract ka khatra bhi barhta hai jis se holders ko aagah rehna chahiye.
April 2023 mein Shapella upgrade ke baad staking withdrawals mumkin ho gaye. Is se pehle, tamam stake kiye gaye ETH lock rehte thay aur unhein nikalne ka koi tareeqa mojood nahi tha. Aaj toseeq kaar partial withdrawals ki darkhwast de sakte hain, jahan 32 ETH se zyada inamat khud kar tor par nikal liye jate hain, ya full withdrawal bhi kar sakte hain, jis mein toseeq kaar mukammal tor par exit kar leta hai aur asal stake ke saath tamam inamat wapis hasil kar liye jate hain. Ethereum ki Behtari ke Proposals (EIPs) ka process isi qisam ki protocol tabdeeliyon ko govern karta hai.
Proof-of-Stake Ne ETH Ki Supply Dynamics Ko Kis Tarah Tabdeel Kiya
Proof-of-Work ke daur mein, Ethereum miners ko rozana taqreeban 13,000 ETH jari karta tha, jis se musalsal selling pressure paida hota tha kyun keh miners bijli aur hardware ke akhrajaat puray karne ke liye ETH farokht karte thay. Proof-of-Stake ke tehat, rozana ki issuance taqreeban 90% kam ho kar 1,700 se 2,000 ETH ke darmiyan reh gayi hai, jo stake kiye gaye total ETH ki amount ke mutabiq tabdeel hoti rehti hai.
Yeh kam issuance, August 2021 mein nafiz kiye gaye EIP-1559 ke saath mil kar kaam karti hai, jo har transaction fee ke ek hisse ko burn kar deta hai. Network par zyada sargarmi ke dauran, burned fees naye jari hone wala ETH se bhi zyada ho sakti hain, jis ke nateeje mein total supply majmooi tor par kami waqay ho sakti hai.
Merge ke baad se ETH ki supply nisbatan mustahkam rahi hai, aur zyada network activity walay auqaat mein mamooli deflation bhi dekhne mein aayi hai.
Holders ke liye, kam issuance ka matlab hai kam dilution. Taham, supply mein tabdeeliyan hi qeemat ka taeun nahi kartein. Market conditions, adoption trends aur majmooi demand ab bhi sab se eham awamil hain.
Merge Ke Baad Eham Upgrades
Merge koi ek martaba hone wala event nahi tha. Is ne aesi upgrades ki bunyaad rakhi jo Ethereum ko musalsal taraqqi de rahi hain. Neeche har eham upgrade aur us ke ETH holders par asraat ka jayeza diya gaya hai.
Shapella (April 2023)
Shapella (Shanghai + Capella) ne pehli martaba staking ke mikalwane ko mumkin banaya. Is se woh ghair yaqeeni ki surat-e-haal khatam hui ke stake kiye gaye ETH kabhi wapas nikale ja sakein ge ya nahi, jo upgrade se pehle ek eham tashweesh thi. Withdrawals ki sahulat ne staking ko zyada purkashish bana diya aur stake kiye gaye total ETH mein musalsal izafa hua.
Dencun (March 2024)
Dencun (Cancun + Deneb) ne EIP-4844 mutarif karwaya, jisay proto-danksharding bhi kaha jata hai , jis ne "blobs" naam ka ek naya data type mutarif karwaya taa keh Layer-2 scaling solutions transaction data ko kam laagat par post kar sakein. Is se Layer-2 networks par fees mein numaya kami aayi, jo aksar 90% ya us se bhi zyada thi. ETH holders ke liye, Dencun ne Ethereum ki strategy ko mazeed wazeha kar diya: Layer 1 settlement aur security layer ke tor par kaam kare gi, jab keh aksar sarifeen ki activity rollups par scale ho gi.
Pectra (May 2025)
Pectra (Prague + Electra), jo 7 May 2025 ko launch hua, Merge ke baad sab se jamay upgrade thi. Stakers ke liye, EIP-7251 ne toseeq kaar ke balance ki zyada se zyada moassar had 32 ETH se barha kar 2,048 ETH kar di, jis se barre operators kai toseeq kaaron ko chand zyada balance walay toseeq kaaron mein yakja kar sakte hain aur compounding ke inamat bhi hasil kar sakte hain. Solo stakers ab bhi 32 ETH se shuruaat karte hain, lekin ab woh is had se upar bhi inamat ko khud kar tor par compound kar sakte hain.
Rozmarra ke sarifeen ke liye, EIP-7702 ne aam accounts mein smart-wallet jaisi sahuliyatain mutarif karwain, jin mein transaction batching, third party ki taraf se gas sponsorship, aur account ki bahali ke mechanisms shamil hain. Scaling ke liye EIP-7691 ne blob throughput mein izafa kiya, jis se Layer-2 ke data ki lagat mazeed kam ho gayi.
Fusaka (December 2025)
Fusaka (Fulu + Osaka), jo 3 December 2025 ko launch hua, ne PeerDAS (Peer-to-Peer Data Availability Sampling) mutarif karwaya, jis ki badolat nodes ko data ki dastayabi ki toseeq karne ke liye puray blobs download karne ki zarurat nahi rehti. Is se data throughput Pectra ke muqable mein kai guna barh gaya, aur rollups ki laagat mazeed kam ho gayi.
Fusaka ne Enshrined Proposer-Builder Separation (ePBS) bhi mutarif karwaya, jis ne protocol level par block proposers aur builders ko baqaeda alag kar diya taa keh MEV management aur decentralization ko behtar banaya ja sakay.
Aagay ka Roadmap
Agli mutawaqqa upgrade Glamsterdam (Amsterdam + Gloas) hai, jis mein Fusaka ki bunyaad par mazeed blob throughput barhane aur Pectra mein shuru kiye gaye account abstraction ke kaam ko aagay barhane ki tawaqqu ki ja rahi hai.
Glamsterdam ke baad, Ethereum community full danksharding par kaam kar rahi hai taa keh data availability ko bohat barre paimane par scale kiya ja sake. Is ke ilawa Verkle Trees par bhi kaam ho raha hai, jo chhote proofs faraham karte hain aur lightweight stateless clients ko mumkin banate hain, aur inclusion lists par bhi kaam jari hai taa keh censorship resistance ko mazeed behtar banaya ja sakay.
Taweel muddat ke hamil in maqasid ka hadaf nodes chalanay ke amal ko asaan banana aur rollups ki capacity mein numaya izafa karna hai. ETH holders ke liye, is ka amli natija ek aesa network hai jo mazboot security guarantees ko barqarar rakhte huwe aalmi paimane par istemal ki salahiyat hasil kar sakta hai.
64 execution shard chains ka asal plan baad mein tabdeel kar diya gaya aur us ki jagah rollup-centric strategy apna li gayi, jahan Ethereum execution ko parallel chains mein taqseem karne ke bajaye, Layer-2 networks ko transaction proofs post karne ke liye wasee, aur kam laagat ki hamil data space faraham karta hai.
FAQ
Kya Ethereum par stake karne ke liye mujhe 32 ETH ki zarurat hai?
Agar aap khud apna solo toseeq kaar chalana chahte hain, to ji haan. Is ke liye kam se kam 32 ETH deposit karna zaroori hai. Taham, aksar ETH holders liquid staking protocols ya centralized exchanges ke zariye staking karte hain, jo kisi bhi amount mein ETH qabool karte hain. Aap ko aap ki staked position zahir karne wala ek receipt token milta hai aur aap secondary markets ya protocol-level exits ke zariye kisi bhi waqt apni position se nikal sakte hain.
Kya mere staked ETH hamesha ke liye lock rehte hain?
Nahi. April 2023 ke Shapella upgrade ke baad tosseq kaar apne staked ETH partial withdrawals (32 ETH se zyada ke inamat) ya full withdrawals (toseeq kaar se mukammal tor par nikalna) ke zariye nikalwa sakte hain. Liquid staking protocols aam tor par aap ko apna receipt token decentralized exchange par ETH ke badle swap kar ke ya protocol ke zariye redeem kar ke nikalne ki sahulat dete hain.
Proof-of-Stake ne ETH transaction fees ko kis tarah mutasir kiya hai?
Merge ne khud transaction fees ko barah e raast kam nahi kiya tha. Taham, baad ki upgrades, yaani Dencun, Pectra aur Fusaka ne blob space mein izafa kiya, jis se Layer-2 rollups ki laagat mein numaya kammi aayi. Aaj Layer-2 networks par transaction karne wale sarifeen aam tor par Layer 1 ke muqable mein bohat kam fees ada karte hain, aur mamool ke network halaat mein yeh fees aksar $0.01 se bhi kam hoti hai.
Ethereum Foundation ne Eth2 ki istilah istemal karna kyun band kar di?
Foundation ne "Eth2" branding is liye tark kar di taa keh yeh ghalat fehmi paida na ho keh Proof-of-Stake Ethereum koi alag network hai aur sarifeen ko apne assets migrate karne ki zarurat hai. Haqeeqat mein tamam upgrades usi jari chain par lagu hoti hain, aur ETH holders ko koi khaas qadam uthane ki zarurat nahi thi. Ethereum 2.0 ki istilah ab bhi community discussions aur taleemi mawad mein ghair rasmi tor par istemal ki jati hai.
Liquid staking ke kia khatraat hain?
Liquid staking smart contract ka khatra paida karti hai, yaani agar staking protocol ke code mein koi bug ya kharabi ho to funds ke zaya ho janay ka imkaan ho sakta hai. Is ke ilawa depegging ka khatra bhi mojood hota hai, jahan receipt token bunyadi ETH ki value se kam par trade hote hain.
Is ke ilawa, protocols ko restake karne se paicheedagi mein izafa hota hai aur smart contracts par inhisar mazeed barh jata hai. Har on-chain activity ki tarah, holders ko kisi bhi protocol mein funds deposit karne se pehle apni taraf se mukammal tahqeeq kar leni chahiye.
Ikhtitami Khayalat
Ethereum ki Proof-of-Stake ki taraf muntaqili ne ETH hold karne ke mafhoom ko bunyadi tor par tabdeel kar diya hai. Merge ne zyada energy ki zarurat ki hamil mining ka khatma kiya, baad ki upgrades ne staking withdrawals ko mumkin banaya aur Layer-2 fees mein numayan kammi paida ki, aur supply dynamics rozana ki zyada issuance se nikal kar ek nisbatan mustehkam raaste par aa gayi.
Holders ke liye, staking network ki security mein hissa lene aur munafa hasil karne ka ek tareeqa faraham karti hai, chahe woh solo validation ke zariye ho, liquid staking protocols ke zariye ya staking services ke zariye.
Glamsterdam ki update bhi qareeb hai aur full danksharding aur Verkle Trees jaise taweel muddat ke ahdaaf par bhi kaam jari hai, is se sabit hota hai keh Ethereum ki taraqqi ka safar jari hai. Bunyadi dhancha ab mazboot tor par qaem ho chuka hai aur focus is sawal se hat kar ke Proof-of-Stake kaam kare ga ya nahi, ab is baat par markooz ho chuki hai keh yeh kitne barre paimanay par scale kar sakta hai.
Mazeed Mutala
The Merge Ethereum Upgrade: Aap ke jaanne ki tamam zaroori baatein
Ethereum Fusaka Upgrade: Aap ke jaanne ki tamam zaroori baatein
Disclaimer: Ye content aap ke liye "jesa hai" ki bunyad par sirf amoomi maloomat aur taleemi maqaasid ki gharz se pesh kiya giya hai, aur is mein kisi qisam ki numaindagi ya zamanat shamil nahin. Isse mali, qanooni ya deegar qisam ki professional advice nahi samjha jana chahiye, na he is ka maqsad kisi makhsoos product ya service ki khareedari ki tajweez dena hai. Aap ko chahiye keh zati mashware ke liye muta'alqa professional advisors se mashwara lein. Jahan ye content kisi third party contributor ki janib se pesh kia jaye, barahe karam note karein wo khayalat us third party contributor ke hain, aur zaroori nahin ke wo Binance Academy ke mu'aqif ki akasi krte hon. Digital assets ki qeematein gher mustehkum ho sakti hain. Aap ki sarmayakari ki value kam ya ziada ho sakti hai aur ho sakta hai ke aap ko apni lagai gai raqam wapis na mile. Aap ke saramayakari ke faislon ki mukammal zamadari aap par hai aur Binance Academy aap ko hone wale kisi bhi qisam ke nuqsanat ke liye zimadar nahi hai. Mazeed maloomat ke liye, hamari Istemal ki Sharaait, Khatre ka Intibah aur Binance Academy ki Sharaait mulahiza karein.